Qibla agar koi juma ki namaz padhaney ke liye apne ghar se taqriban 60km rafto bargasht ki masaafar par jata ho to wo.....? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, January 2, 2020

Qibla agar koi juma ki namaz padhaney ke liye apne ghar se taqriban 60km rafto bargasht ki masaafar par jata ho to wo.....?

sawaal az : ..........

Salamun alaikum
Mae ...
Qibla agar koi juma ki namaz padhaney ke liye apne ghar se taqriban 60km rafto bargasht ki masaafar par jata ho to wo asr ki namaz kaise padhaye qasr ya kamil?
Kya wo apni qaza namaz ki niyat se asr ki namaz padha sakta hai?
Ayatullah sistani
Barae mehrbani naam aur number makhfi rakkhen


jawaab:

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


(1) agar ousi jagah namaaz padhte hain to qasr hai

(2) ji agar rozaana ki namaaz yaani panj'gaana namaaz me se koei aek namaaz bhi qaza ho gaei hai  to ous ki niyat se padh sakte hain
isi tarah dusre shakhs ki qaza namaaz bhi padh sakte hain our namaazi ous ki aeqteda bhi kar sakte hain
albatta is shart ke saath ke apni ya dusre ki qaza namaaz par yaqin ho, agar apni ya dusre ki qaza namaaz aehteyaat ke taur par padhen to ous ki aeqteda jaa'aez nahi hai


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen