Sawaal az : +91981833****
Salamun alekum huzur kheryat se hain khuda apko apne hifzo aman me rakhe.
Mera sawaal hai jab Imam a.s zahoor karenge to sab se pehle unki Bai'at (بیعت) kon karega.
Shukriya
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
Maasumin (صلوات الله عليهم) se manqul mokhtalif taabir wa alfaaz ke saath rewaayaton me hai ke sab se pahle Janaabe Jibraeil bai'at karen ge
Is ke mota'alliq rewaayaten tafsili aur mokhtasar donon naql huei hain misaal ke taur par sirf aek rewaayat par iktefa kiya jaa raha hai molaaheza farmaa'aen :
" Khoda ke izn se jab Imaame Zamaana (عجل الله فرجه الشريف) ka zohur hoga to aap khaana'ae kaaba ki diwaar se tek laga kar khade hon ge aur apne haath ko aage badhaa'aen (بڑھائیں) ge misle Janaabe Musa ... ous waqt farmaa'aen ge :
Ye khoda ka haath hai aur khoda ki jaanib se hai aur khoda ke hukm se aage badhaaya gaya aur surah fath aayat 10 ki telaawat farmaa'aen ge :
" ba'tahqiq jo log aap ki bai'at kar rahe hain wo yaqinan Allaah ki bai'at kar rahe hain Allaah ka haath oun ke haath ke oupar hai pas jo ahd shekani kare wo apne saath ahd shekani karta hai aur jo ous ahd ko pura kare jo ous ne Allaah ke saath kar rakha hai to Allaah anqarib ouse ajre azim dega "
Pas sap se pahle jo aap ke haath ka taaziman bosa lega aur aap ke haath par bai'at kare ga wo farishta'ae moqarrab, amine aelaahi Janaab Jibraeil hon ge aap ke baad dusre farishte aur nojabaa'ae jin (نجبائے جن = jinon ke shorafa) aur aap ke sar'karda wa afsar bai'at karen ge 》
Ahle eilmo tahqiq ke liae sirf 5 ketaabon ke hawaalaajaat wa naam zail (ذیل) me pesh kiae jaa rahe hain :
- ghai'bat p 274 shaikh tusi
- irshaad p 364 shaikh mofid
- kamaalud deen wa tamaamun'nemah jild 2
- ghai'bat-e-nomaani
- bahaarul anwaar jild 52 p 285
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
21 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق