insaani zindagi par gunaahon ke noqsaanaat | naa kaami | rizq o rozi me kami | barkat ke asbaab | behtarin zikr jis se mushkelaat dur hoti hain | tauba qabul hoti hai - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 15, 2020

insaani zindagi par gunaahon ke noqsaanaat | naa kaami | rizq o rozi me kami | barkat ke asbaab | behtarin zikr jis se mushkelaat dur hoti hain | tauba qabul hoti hai

sawaal az : +9183182....


Salaamun alaikum wrahematullahe wbarkatuh


Janaab Meri guzaarish hai ki aap hame ye bataiye ki Kya wajah hai ki koi kaam bhi karwaate hain usme aksar nuksaan hi hota hai Paisa bhi zayada lagta hai tension bhi ho jaate hain. Kahin aisa to nahi ki Jaane anjaane me koi gunah aisa sar-zad hua tha Jo aisa hota hai please aap bataiye


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


is me shak nahi ke insaani zindagi par gunaahon ke mozir aur kharaab asaraat hain aayaat, rewaayaat aur doaa-e-kumail me is baat ki taraf aeshaara huaa hai jaise nematon ka zaa'ael wa khatm hona, zillat wa ruswaaei, sharm-o-haya ka khaatema, ghairat ka fuqdaan, oumr me kami

zamini wa aasmaani balaa'aen bhi gunaahon ke ba'aes, nozul karti hain. gunaah insaan ke azaaem me kamzori paida karte hain gunaah parishaaniyon aur rizq-o-rozi se mahrumi ka sabab hai


khulaasa ye ke ham par jo parishaaniyaan aur mosibaten aati hain wo hamaare apne aamaal ka natija hain


is ta'alluq se surah shura ki aayat 30 padh len


rasul-e-khoda ne hazrat ali ( صلوات الله عليهم ) se farmaaya :


۔... يَا عَلى مَا مِن خَدشِ عُودِِ وَلَا نَكبَةِ قَدَمِ اِلَّا بِذَنبِ ...۔


mafhum :


ay ali insaan par waarid hone waali aek maamuli kharaash aur zamin par gir padna ous ke gunaahon ki wajah se hain



aayaat aur rewaayaat me baaz gunaahon aur khaaslaton ... ke khaas aasaar ka zikr bhi milta hai


is hawaale se aek tafsili rewaayat ka sirf mokhtasar tarjuma molaaheza farmaaen


is me 16 aisy khaslaton ka zikr hai jo faqr wa tangi ka ba'aes hain aur 18 aisy khaslaton ka zikr hai jo rizq-o-rozi me aezaafa ka sabab hain


raawi kahta hai me ne amirul momenin ali ( عليه السلام ) se suna ke aap ne farmaaya :


"ghar se makdi ka jaala saaf na karna, hammaam me peshaab karna, haalat-e-janaabat me khaana khaana, tarfa ( طَرفَاء ) ki lakdi se khelaal karna ( aek qism ka darakht, jis ke patte bahot chhote hote hain aur zeyaadah tar banjar zamin par ougta hai shaayad urdu me جھاو aur English me tamarisk kahte hain ), khade ho kar kanghi karna, ghar se kuda na phekna, jhuti qasam khaana, zena karna, hirs-o-laalach ka izhaar, aesha'aain ( maghrib wa aesha ) ke darmeyaan sona, toluae aaftaab ke pahle sona, maeishat (معیشت ) me aetedaal ki reaa'yat na karna, qat'ae rahim ( qaribi azizon se ta'alluq tod dena ) jhut bolne ki aadat, kasrat se ghena sunna, raat me mard saa'ael (سائل ) ko kuchh na dena" faqr-o-tangi ke asbaab hain


is ke baad amirul momenin ali ( عليه السلام ) ne oun asbaab ko bhi bayaan kiya jis se rizq-o-rozi me aezaafa hota hai :


do namaazon ( zohr wa asr aur maghrib wa aesha ) ko aek saath wa mila kar padhna ( جمع بين صلاتين ), namaaz-e-subh wa asr ke baad taaqibaat ( namaaz padhne ke baad ke wazife ke liae baidhna ), sela'ae rahim ( qaribi rishtedaaron se nek soluk ), ghar ki safaaei, beraadar-e-dini ko apne maaddi wa maali imkaanaat wa zaruriyaat-e-zindagi me sharik qaraar dena ( mowaasaat= مواسات ), alas sabaah ( bahot sawere ) talab-e-rizq ke liae jaana, istighfaar, amaanat daari, haq baat kahna, mowaz'zin ki azaan par aejaabat ( jawaab dena yaani azaan ke kalemaat ko dohraana ), paakhaane me baaten na karna, laalach na karna, mun'eim ( nemat dene waale ) ka shukr, jhuti qasam se parhez, khaana khaane se pahle wozu karna ( haath dhona ), dastar'khaan se jo chiz dur wa saaqit ho gaei hai ous ko khaana


is ke baad amirul momenin ( عليه السلام ) ne farmaaya :


jo shakhs har roz 30 martaba allaah ki tasbih kare to khoda ous se 70 qism ki balaa'on ko daf wa dur karta hai oun me se aasaan tarin faqr hai



insaan ke nafs par gunaahon ke asaraat to hain hi dunya wa aakherat me bhi is ke manfi wa kharaab asaraat hain


bahar kaif agar gunaah ho gaya hai to naa'oummid naa hon is liae ke allaah ki rahmat se naa'oummid hona khud aek bahot bada gunaah hai

agar haqqun'naas hai to ous ko ada karen aur apni guzishta kotaahiyon par naadim ho kar khoda se moaafi maangen aur ous ki naa'farmaani chhod kar aaeindaah apne aamaal ki islaah karen


aur kasrat se salawaat bhejen is liae ke gunaah ke aasaar ko khatm karne ke liae aek behtarin zikr salawaat hai


imaam reza ( عليه السلام ) ne farmaaya :


"jo shakhs aisa kaam nahi kar sakta hai jis ki wajah se ous ke gunaah bakhsh deae jaaen to wo mohammad wa aal-e-mohammad par salawaat zeyaadah bheje is liae ke salawaat gunaahon ko jad ( جڑ ) se khatm kar deti hai


is haqiqat se bhi inkaar nahi kiya jaa sakta hai ke insaani zindagi par mozir wa kharaab asaraat wa naa'kaami wa rizq se mahrumi...ka sabab har jagah gunaah nahi hai

dusre mokhtalif asbaab bhi ho sakte hain chand aek ka zikr sotur-e-zail me kiya jaata hai :


zindagi me moshakh'khas ( معین ) hadaf wa maqsad naa hona, mustaqil mezaaj naa hona, nazm naa hona, susti wa kaaheli, faisla lene me azm-e-raasikh naa hona, naa monaasib kaam ka intekhaab, fozul kharchi wa israaf yaani aekhraajaat me aetedaal ki reaa'yat na karna, har chiz me beja shakk-o-taraddud, apni tawaanaaei wa salaahiyat par aetemaad naa hona ( fuqdaan-e-khud aetemaadi ) tajroba naa hona, kaam ke liae monaasib jagah naa hona, monaasib biwi ka intekhaab na karna, beja jinsi khaahishaat ko lagaam na dena, ... aur naa'oummidi wa haar maan lena bhi shikast wa naa'kaami ka aek mohim sabab hai



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


۔27 / ذى الحجه / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen