Shukriya🌹 Jazakallah.
Janab zahmat ke liye mafi chahta hu lekin ek aur sawal tha jo mai likhna bhul gaya tha aur wo sawal ye hai ke...
Dawa (दवा) khaate waqt "Bismillah" padh sakte hai ya nahi? Maine dekha hai jab kabhi ham "Bismillah" padh kar dawa khaate hain to ghar wale ya rishtedar kahte hai ke "Bismillah" mat padho because ye kisi kam ko shuru karne se pahle padhi jaati hai lehaaza dawa ki bhi shuruwaat Mani jayegi aur iske khaane ka silsila jari rahega. Jab ke khaane pine se pahle "Bismillah" padhna chahiye.
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
شکریہ
na sirf ye ke padh sakte hain balke padhna behtar hai
hazrat ali ne rasul-e-khoda ( صلوات الله عليهم ) se ye hadis-e-qudsi naql ki hai :*
كُلُّ اَمرِِ ذِى بَالِِ لَا يُذكَرُ بِسمِ الله فِيهِ فَهُوَ اَبتَرُ
" har aham kaam jis me bismillaah na kahen ( yaani bismillaah se shuru na kiya jaae ) to wo adhura wa naaqis hai "
( wasaa-ae-lush'shia jild 7 p 170 baabo istehbaabil eibteda bil basmalah )
kaam bada ho ya chota ous ke shuru me bismillaahir rahmaanir rahim kahne ka hukm diya gaya hai
amirul momenin ali ( عليه السلام ) se manqul hai :
فَقُولُوا عِندَ اِفتِتَاحِ كُلِّ اَمرِِ صَغِيرِِ اَو عَظِيمِِ بسم الله الرحمن الرحيم
" har chote ya bade kaam ko shuru karte waqt bismillaahir rahmaanir rahim kaho "
dawa khaana wa pina bhi in ahaadis ke masaadiq me se hai
ye kahna ke dawa khaane ke pahle agar bismillaah padhen to dawa khaane ka silsila jaari rahe ga ( yaani bimaari ka silsila jaari rahe ga )
ye mokammal taur par be bunyaad baat hai , is ki koei haqiqat nahi hai
agar aiysa hota to jis kaam ke shuru me bismillaah padhne ka hukm diya gaya hai ous ka bhi silsila jaari rahna chaahiae
masalan ghusl wa wozu karne se pahle ya halaal jaanwar zibh karte waqt ya khaana khaane se pahle ya subh ko bistar se bedaar hote waqt ya bistar par jaate waqt ya ghar se baahar jaate waqt ya khat ke pahle ya ham bistari ke pahle ya loqma outhaate waqt ya mushkil wa parishaani ke waqt ... bismillaah padhne wa kahne our likhne ke liae kaha gaya hai , in ka bhi silsila jaari rahna chaahiae
janaab-e-solaimaan ne saba ki maleka bilqis ko jo tablighi khat likha to ous ka aaghaaz isi kalema se kiya gaya ( surah naml 30 )
telaawat-e-qur'aan ke pahle surah tauba ke aelaawah har surah ke shuru me bismillaah padhna chaahiae
jab janaab-e-nuh ne tufaan se bachaao ke liae ba hukme aelaahi kashti taiy'yaar kar li to kaha :
" kashti me sawaar ho jaao allaah hi ke naam se is ka chalna our thaharna hai ... "
(hud 41 )
lehaaza ham jab bhi koei kaam shuru karen to bismillaah kahen is liae ke ham har jagah allaah ke mohtaaj hain is me sawaab , barkat our taasir bhi hai is me aiysa raaz hai jis ko aam insaan nahi samajh sakta hai , musalmaanon ki alaamat wa neshaani bhi hai
khoda ke isme aazam se bahot nazdik wa qarib hai
imaam hasan askari ( عليه السلام ) se manqul hai :
بسم الله الرحمن الرحيم اَقرَبُ اِلَى اِسمِ اللهِ الاَعظَمِ مِن سَوادِالعَينِ اِلَى بَيَاضِهَا
" aankh ( آنکھ ) ki seyaahi ous ki safedi se jetni nazdik hai ous se zeyaadah bismillaahir rahmaanir rahim khoda ke isme aazam se nazdik wa qarib hai "
( tohaful oqul p 487 )
aankh ki seyaahi ous ki safedi se muttasil hai is ka matlab ye huaa ke bismillaah ... ka ittesaal khoda ke isme aazam se hai
mokhtasar ye ke har kaam ke shuru wa aaghaaz me bismillaah kahne ka matlab :
allaah ke naam ke saath madad talab karna our allaah ke naam se shuru karna hai
dar haqiqat ye donon laazim o malzum hain yaani ous ke naam se shuru karte hain our ous ki paak zaat se madad bhi talab karte hain
lehaaza har kaam ke shuru me wa dawa khaate ya pite waqt bismillaah kahne ka matlab ye huaa ke ous se madad talab kar rahe hain ke mujhe shefa ata farmaae our mera kaam ach'che tariqe se anjaam paae
imaam hasan askari ( عليه السلام ) se marvi aek tafsili rewaayat ka aek hissa molaaheza farmaaen :
mushkelaat wa sakhtiyon ... me jab bhi koei makhluq har jagah se naa oummid ho jaati hai our saare raaste band ho jaate hain to khoda ki panaah maangti hai our kahti hai :
... بِسمِ اللهِ اَى اَستَعِينُ عَلَى اُمُورِى كُلِّهَا بِاللهِ ...
" bismillaah yaani apne tamaam omur wa kaamon me khoda se madad maangta / maangti hun "
( tafsire nurus saqalain jild 3 p 186 surah isra )
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
2 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق
شب شہادت جناب سیدہ سلام الله عليها