Billi (cat) ko (Jan se) marna kaisa hai?.... Rupee ko chumna kaisa hai? Kuchh log use chumte...(Nikah ke liye) ladki nek hai ye kaise maloom kare? Masoomeen a.s. ne...? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, January 15, 2020

Billi (cat) ko (Jan se) marna kaisa hai?.... Rupee ko chumna kaisa hai? Kuchh log use chumte...(Nikah ke liye) ladki nek hai ye kaise maloom kare? Masoomeen a.s. ne...?

sawaal az : +91955477***

Salamun Alaikum.
Allah aapko salamat rakhe.

Que.1

Billi (cat) ko (Jan se) marna kaisa hai? Agar wo murghi waghaira ko mar khati ho!

Que.2

Rupee ko chumna kaisa hai? Kuchh log use chumte hai jabke jahan tak mai janta hu ahlebait a.s. ne malo daulat ko bahut zyada ahmiyat nahi di.

Que.3

(Nikah ke liye) ladki nek hai ye kaise maloom kare? Masoomeen a.s. ne is bare me kya farmaya hai?

(Sawal zyada hai isliye pahle aur dusre question ka mukhtasar jawab kafi hai.)

FROM: SYED A.H.


شکریہ 
🌹

jawaab :

                           باسمه تعالى
         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
                              شکریہ


(1) jaa'aez hai

(2) agar rupees par moqaddas hastiyon ke alqaab likhe hon ya moqaddas jagah ki taswir ho jaiyse iran ki baaz currency tumaan ( reyaal ) par haram-e-imaam reza ( عليه السلام ) ... ki taswir hai ya aap wa imaam zamana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ka laqab likha hai to chumne me koei haraj nahi hai
agar aiysa nahi hai to chumna sahih nahi hai is liae ke ye maal wa dunya parasti hai is ki mazammat ki gaei hai


albatta agar khoda ki taraf se di huei is nemat  ke ta'alluq se ba ounwaan-e-shukriya chume to is surat me bhi koei haraj nahi hai

qur'aan wa rewaayaat me maal o daulat ki madh o sataa'eish ki gaei hai our mazammat bhi , aiysa nahi hai ke bilkul maal o daulat ki ahamiyat nahi hai


apni zaat me yaani apne aap wa dar asl mazmum wa buri chiz nahi hai

agar jaa'aez tariqe se ho , khoda ki raah me , khoda ke liae ho ya ghar waalon ki tamaam zaruraton ko pura karne , rizq ki faraakhi our raahat wa aasaa'eish ke liae ho ya is se refaahi kaam karne our zarurat mandon , mohtaajon our parishaan haal logon ki madad karne ke liae ho ... mokhtasar ye ke dunya wa aakherat ko aabaad karne ke liae ho to na sirf ye ke bura nahi hai balke ach'chi chiz hai

lekin agar haraam tariqe se ho our khoda se dur karne , naa'amni , fasaad , zulm , aiysh o nosh , dunya haasil karne  our dunya wa aakherat ke kharaab karne ... ka sabab ho to bura hai , aiyse maal o daulat ki mazammat ki gaei hai , ahl-e-bait ( صلوات الله عليهم ) ke nazdik aiyse maal o daulat ki koei ahamiyat nahi hai

(3) shaadi se pahle rishte ki ach'chi tarah se tahqiq karna bhot zaruri hai khosusan is daur me jis me ach'cha bura hai our bura ach'cha , sab khalat malat hai our is me jhut , jhuti sefaat bayaan karna , jhuti gawaahi dena sab aam hai
shadi beyaah me rishta ka intekhaab badi ahamiyat rakhta hai

ladki ya ladka nek hain ya nahin ? is ko maalum karne ke liae mokhtalif tariqe hain misaal ke taur par sirf 2 tariqon ki neshaan dehi ki jaa rahi hai :

1. khud ghar waale ya rishtedaar maalum karen wa tahqiq karen , sab me behtar tariqa yahi hai


2. dost o ahbaab ya kisi qaribi wa deen daar our waaqif shakhs ke zariae tahqiq kar waaen wa maalum karen ,
mere khayaal me ye dono tariqe bhot monaasib wa behtar hain eisi liae hamaare buzurgon ne eisi tariqe par amal kiya our karte hain

maasumin ( سلام الله عليهم ) ki sirat se bhi in 2 tariqon ki taa'eid hoti hai

masalan amirul momenin ali ( عليه السلام ) ne apne bhaei janaab-e-aqil se jo bade nas'saab our haalaat-e-arab se ach'chi tarah waaquf the farmaaya :

aap mujhe aek aiysi ladki talaash kar dijiae jis ke daadihaal our naanihaal ke kul qabila bahaadur hi bahaadur hon jis se me shaadi karun to bada bahaadur ladka paiyda ho

janaab-e-aqil ne janaab-e-faatema kelaabiyaah ( oummul banin ) ke baare me bataaya our aap ko tajwiz kiya ... aap ne oun se shaadi kar li ...

khud rasul-e-geraami ( صلى الله عليه وآله ) ne oummul momenin janaab-e-oumme salama se shaadi karne ke liae apne sahaabi " haatib bin abi balta'ah ( حاطب ابن ابى بلتعه ) ko bich me daala ...


Note :

1. mobile ki kharaabi ke sabab beraadaraan wa khaaharaan-e-geraami ke saare sawaalaat mit gae lehaaza dobaara zahmat karne ki guzaarish hai
maazerat

2. shaadi ke mota'alliq mokhtalif sawaalaat ke jawaab diae gae hain " edaara-e-darul itrat " ki site par dekh len

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

19 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen