Nrc | mulk ke bure haalaat | zulm par khaamoshi bhi gunaah hai | olama par tanqid | naasir ki kami | aek aur inqelaab ki zarurat - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, December 30, 2019

Nrc | mulk ke bure haalaat | zulm par khaamoshi bhi gunaah hai | olama par tanqid | naasir ki kami | aek aur inqelaab ki zarurat

Sawaal az : mohtaram janaab minhaal Hussain sb (Delhi)


Salamun alikum, aaj kal jaisa mahool Chal raha hai CAA / Nrc ko le ke Kuchh hamaare Qaum ke bhai Hamaare alim-e-deen ko ghalat bol rahe hain bina tehqeeqaat kiye hue ke wo kuchh nahi bol rahe hain.. Hamaare alim-e-deen behtar jaante hain ke keya sahi hai keya ghalat hai. Hamaare Qaum ke zayadaa-tar Youngster galat bol rahe hain.. Ek aalim-e-deen ko bolna keya sahi hai kya ? Aalim-e-deen ke kya importance hai ye sabhi ko pata hai phir bhi sab ghalat word use kar rahe hain ..


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


is me koei shak nahi ke is waqt mulk ke haalaat naagufta'beh hain, pura mulk hi aek tarah se aashob-e-mahshar ban gaya hai, mulk haalat-e-jang me hai taqriban pura mulk wa aedaare wazir-e-aazam aur makh'butul hawaas ( مخبوط الحواس ) wazir-e-daakhela wa UP ke wazir-e-aala aur R.s.s wa dusri dahshat gard tanzimon ke haathon yarghamaal ban chuka hai


maasum wa be'gunaah bach'che hatta olama wa eilmi maraakiz bhi mahfuz nahi hain, hujjatul islaam maulaana Asad Reza Sb (mozaffar nagar), Jamia Millia Islamia aur Alighadh ... par wahshiyaana hamla munh bolta sobut hai


UP me kisi shia madarse me ghus kar be'rahmi se maarne ka ye dusra waaqe'aa hai, barson pahle bhi UP ke aek bade shahar me bhi aiysa huaa tha ous me bhi aek mo'ammam aalim-e-deen shadid zakhmi huae the


is waqt police qaanun par amal karne ke bajaa'ae R.s.s ke aeshaaron par nange naach rahi hai


in ke mazaalim aur mulk ko yarghamaal banaa'ae rakhne par jo bhi khaamosh rahe hadis ke motaabiq wo in ke jaraa'aem wa gunaah me sharik hai


Amirul Momenin Ali ( عليه السلام ) ne farmaaya :


اَلرَّاضِى بِفِعلِ قَومٍ كَاالدَّاخِلِ فِيهِ مَعَهُم وَ عَلَى كُلِّ دَاخِلٍ فِى بَاطِلٍ اِثمَانِ اِثمُ العَمَلِ بِهِ وَ اِثمُ الرَّضِى بِهِ


agar koei kisi qaum ke kaam par raazi rahe to wo ous me oun ke saath sharik hai aur jo bhi baatil me daakhil huaa (yaani baatil ke saath huaa) to ous ke liae 2 gunaah hain, aek ous amal ka gunaah aur dusra ous par reza mandi ka


(nahjul balaagha kalemaat-e-qesaar 154)


amr bil maaruf wa nahi az munkar sab par waajib hai (aale imraan 104)


Imaam Baaqir ( عليه السلام ) se manqul aek tafsili rewaayat ka hissa hai :


تُعمَرُ الاَرضُ وَ يُنتَصَفُ مِنَ الاَعدَاءِ وَ يَستَقِيمُ الاَمرُ الحَدِيثَ


" amr bil maaruf wa nahi az munkar se zamin aabaad hoti hai aur dhushmanon se inteqaam liya jaata hai aur kaam ach'chhe wa durust hote hain "


amr bil maaruf wa nahi az munkar sab ki zimmedaari hai

albatta olama aur daanish'mandaane qaum ki zimmedaari zeyaadah sangin hai


foqaha farmaate hain agar deeni olama wa mazhabi rahbaron ki khaamoshi wa sokut zaalim ki taa'eid wa taqwiyat ka sabab ho to oun ki khaamoshi haraam hai aur izhaar-e-haqaa'aeq oun par waajib hai hatta zulm ko khatm karne me moas'sir na ho tab bhi


hadis me hai "sab se behtarin jehaad zaalim hukmaraanon (حکمرانوں ) ke saamne kalema'ae haq kahna hai"



jo olama wa rahbaraan-e-qaum zaalim hokumat ki taa'eid karte hain, oun ke oupar niche hote rahte hain, wafaadaari me deen, eimaan aur zamir ko bech dete hain ya hatta khaamosh rahte hain to oun par tanqid ka darwaaza sab ke liae khula hai makh'susan jawaano ke liae ye qaum ka mustaqbil wa mulk ka sarmaaya hain


aiysa aalim-e-deen ya rahbar-e-qaum ye khayaal na kare ke ye tanqid bad niyati par mabni hai wo is par sanjidgi se ghaur karne ki koshish kare is ko saazish wa zaati ranjish qaraar dekar rad na kare,

ye samjhe ke ye tabsera is liae ho raha hai ke aek aalim-e-deen ki zarra baraabar ghalti aiysa hi hai jaiyse :


safedi par maamuli seyaah daagh wa dhabbah


lekin tanqid musbat wa taamiri ho, islaah ki gharaz se ho


agar ham zaati ranjish ya aelaaqaa'ei ta'assub ki wajah se kisi ki aiyb joei karen, ous ke manfi pahlu oujaagar karen, taan-o-tashni karen, ous ki fikr-o-rawish par tanqid wa tabsera karne ke bajaa'ae ous ki shakhsiyat wa zaatiyaat par tanqid wa tabsera karen to ye tanqis wa tazlil hai jaa'aez nahi hai


baaz chizon ka tazkera aur baaz amal apne andar deeni aetebaar se faa'aede se zeyaadah noqsaan ka pahlu rakhta hai

aur oummat ka ijtemaaei noqsaan, aapsi inteshaar ka sabab aur dushmano ko aendhan faraaham karta hai


is silsile me ham sirf aek misaal pesh karna kaafi samajhte hain :


kisi aalim ki rawish ya baat pasand nahi aaei to ous ke aemaama par zaafaraani rang chadha diya


rangon ki seyaasat UP me maujuda hokumat ka shauq hai pure hindustaan ko zaafaraani rang me rangna chaahti hai


hamaare olama ne hamesha zulm ke khelaaf aawaaz baland ki aur qur'baaniyaan din


agar ham jaahil ko allaama bana den aur ous ki khaamoshi ... ko olama ki taraf nisbat den ya angusht shumaar ( انگشت شمار ) olama ki khaamoshi ko tamaam olama se mansub karen to ye sahih nahi hai


aabaadi ke tanaasub se dekhen to zulm ke khelaaf bolne waalon me shia olama ki taadaat zeyaadah hai aur beraadaraan-e-sunni ke olama ki taadaad intehaaei kam hai


agar kabhi koei Aalim-e-ba'amal khaamosh rahta hai to qaum ko bachaane ke liae ya qillat-e-naasir ki wajah se


baabri masjid ke ta'alluq se haaliya adaalat-e-ouzma ka faisla aane waala tha to 2 - 3 roz pahle hi se aksar group admin ne aiysa kar diya tha ke dusre log group me kuchh na bhej saken, aisa ittehaad to hamne kabhi nahi dekha, buzdeli ka ye aalam hai


jis din faisla aaya ousi din is ke mota'alliq haqir ne "baabri masjid ki pukaar" ke ounwaan se kuchh likha tha, ous ko awaam tak pahunchaane me sirf chand group zaria bane, aise group admin ki shujaa'at qaabil-e-taarif hai


agar qaum, olama ka saath de oun ki pusht panaah rahe tabhi koei aalim kuchh kar sakta hai, iran me azim islaami inqelaab aaya to qaum ne saath diya, maidaan me aaiy, gharon me baithi nahi rahi


ya khud hamaare mulk me gaandhi'ji ki rahbari me inqelaab aaya to saari qaum muslim, hindu, sikh ... ne oun ka saath diya ...


is waqt bhi maujudah hokumat mulk ko ghulaam wa yarghamaal banaa'ae huei hai, mulk ki jad ko khokla kar rahi hai ... lehaaza phir aek inqelaab ki zarurat hai


《 sahar ke baad phir aek sahar ki talaash hai 》


naa oummid na hon


"پایان شب سیه سفید است"


"seyaah raat ka aakhir wa anjaam safed hai"


والسلام

Syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


3 / جمادی الاولی / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube


.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen