sawaal az : mohtarama janaab syeda shahida sb / multan
Agar instalment Pe ham koi cheez laa'aen to kya ham us Pe jo interest de te hain wo jaiz hai ya nahi please lazmi bataiye ga
jawaab :
باسمہ تعالی
سلام علیکمagar aap ka maqsud wa moraad ye hai ke ash'yaa qiston me farokht karne waalaa asl qimat se zaa'aed wa aezaafi qimat leta hai, misaal ke taur par kapde ki qimat rs. 2000 hai, qiston par bechne waalaa rs. 2600 ( 30% aezaafa ) leta hai to chand sharton ke saath ye aezaafi wa zaaed raqam dena wa lena dono jaa'aez hai, reba wa sud nahi hai
sharten :
- kharidaar ko maal ka eilm ho yaani maal mota'aiyan ( متعین ) wa moshakh'khas ho
- maal ya chiz ki asl qimat ka pata wa eilm ho
- zaa'aed wa aezaafi qimat ki meqdaar bhi moqarrar wa maalum ho
- qiston ki muddat moaiyan ho
Note :
1. qiston par saamaan waghairah lena dar haqiqat oudhaar lena hai, aam taur par naqd aur oudhaar ke liae 2 alag alag qimaten moqarrar hoti hain
naqd ki surat me asl qimat lete hain aur qiston wa oudhaar ki surat me qadr-e-zaa'aed wa aezaafa ke saath farokht hoti hain aur zaa'aed qimat dono ki reza'mandi se tay paati hai
2. qiston ki adaa'aegi me taakhir par jurmaana aa'aed karna haraam hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔8 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق
subscribe us on youtube