sawaal az : khaahare geraami / gujaraat
Salamun alaikum
Namaaz-e-shab ki last rakat vitr me Jo 70 time astagferullah or 300 time al-af or 40 momenin ke naam ye sab qonut me padhna hai na?? Me kaafi waqt se ese hi padh Rai hu ... Lekin Abhi 1-2 ne bola ke wo sab Beth kar padhna hai Salam baad
Plz iska Jawaab chahiye kisi ne sawaal Kiya hai
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته70 martaba "as'tagh'ferullaah rabbi wa atubo aelaiyh
( استغفرالله ربى و اتوب اليه )
300 martaba " al'af العفو " kahna aur 40 momenin ke liae doa wa dushmane maasumin ( سلام الله عليهم ) par laan ... ye sab namaaz-e-watr ke qonut me anjaam dena chaahiae, salaam-e-namaaz ke baad nahi, salaam ke baad baaz doa khosusan tasbih-e-janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ki sefaarish zeyaadah ki gaei hai
Tariqa :
behtar ye hai ke "as'tagh ferullaa rabbi wa atubo aelaiyh" kahte waqt baaen ( بائیں ) haath ko baland karen ( jis tarah qonut me karte hain ) aur daahene haath se "astagh ferullaah ..." ka shumaar wa ginti karen
wazaahat :
tamaam naafele wa mustahabbi namaazon ko be'ghaiyr kisi majburi ke baith kar bhi padh sakte hain lekin afzal wa behtar ye hai ke khade ho kar padhen, namaaz-e-watr mustahab namaaz hai lehaaza baith kar padh sakti hain
faqat naafela-e-aesha ke liae hai benaabar aehteyaat-e-waajib baith kar padhna chaahiae
Note :
1. namaaz-e-watr ko be'ghaiyr qonut ke bhi padh sakti hain
2. mazid tafsil ke liae niche diae gae jawaab ko padh len
والسلام
syed shamshad ali katokahri
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / شوال / 1440ھ.ق
Subscribe us on youtube