agar cream lagi ho to namaaze shab padh sakte hain ? | tayammum kin haalaton me jaa'aez hai ? | beghair ghusl ke namaaz padhne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, December 1, 2019

agar cream lagi ho to namaaze shab padh sakte hain ? | tayammum kin haalaton me jaa'aez hai ? | beghair ghusl ke namaaz padhne ka hukm

Sawaal az : Mohtarama janaab faatema sb (muscat)


As-salam alaikum wrwb


ek question hai please ye bataiye aap ke agar cream lagi hai aur ham namaaz-e-shab padhna chaah rahe hain aur cream dhona bhi nahi chaah rahe hain to keya tayammum kar ke namaaz-e-shab ya Subah ki namaaz padh sakte hain... Plzz answer jaldi Dijiyega ...


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

7 jag'hen aiysi hain jahaan wozu wa ghusl ke bajaae tayammum karna chaahiae :


paani na ho, paani hai lekin chori ... ke khauf se nahi laa sakte hain, paani istemaal karne se bimaari ... ka khauf ho, paani laana nehaayat dush'waar wa mushkil ho, tashnagi dur karne ke liae paani ki zarurat ho, namaaz ke liae wozu ya ghusl karne ka waqt na ho, paani aetna kam ho ke namaaz ke liae sirf badan ya kapda paak kiya ja sakta hai


agar cream na dhone ki wajah se ghusl ya wozu ke bajaae tayammum karna sahih hota to fiqh me is ka zikr bhi hota

cream shar'ei ouzr nahi hai lehaaza ghusl ya wozu ke ba'jaae tayammum se namaaz nahi padh sakti hain


( tafsil aur har aek ke ahkaam tauzihul masaa'ael me padh len )


Note:


1. agar kisi ko ghusl ki zarurat thi lekin amadan ( jaan bujh kar ) ghusl nahi kiya yahaan tak ke namaaz ka waqt tang hogaya to gunaah kiya hai albatta tayammum kar ke hatman namaaz padhe, namaaz sahih hai ( dobaara padhna zaruri nahi hai )


2. cream is qadr na lagi ho ke ghusl ya wozu me khaal tak paani na pahunch paae


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran


27 / صفر / 1441ھ.ق


شب شہادت رسول محبوب و آپ کے فرزند امام حسن صلوات الله عليهم

Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen