sawaal az : ............
Salam Alikum
Ek Sawaal ham Namaaz-e-Shab Raat ke 12 baje ko Padhte hain aur Fajr Ki Namaaz qaza ho jaati hai
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهaap ka sawaal keya hai ham nahi samajh paae bahar kaif amirul momenin ali ( عليه السلام ) ka farmaan hai :
اِذَا اَضَرَّتِ النَّوَافِلُ بِالفَرَائِضِ فَارفُضُوهَا
(nah'jul balaagha hikmat 279 )
jab naafele ( mustahabbaat ), faraaez ( waajibaat ) ko noqsaan pahunchaaen to oun ko ( naafele = mustahabbaat ) ko tark kar do
aek dusri rewaayat me hai agar naafele, waajibaat ko noqsaan pahunchaen to ye naafele khoda se qurbat ka sabab nahi hain
fiqh me aek qaaedah hai aham aur mohim ke darmeyaan ta'aaruz ( aek dusre ke moqaabil hona )
agar 2 amal aek mustahab aur dusra waajib ya 2 amal aek mohim aur dusra nehaayat wa bahot mohim wa zaruri ; aek dusre ke moqaabil hon, jaiyse mustahab wa waajib namaaz, aur 2 shakhs gharq ho rahen hain oun me se aek ajnabi wa naa'waaqif ya jaahil wa faasiq hai aur dusra baap ya aalim wa muttaqi hai dono ko nejaat nahi de sakte sirf aek hi ko bacha sakte hain to :
aql wa shariat donon ka hukm hai ke jo bahot mohim wa zaruri hai ous ko moqaddam karen yaani ous ko anjaam den aur mohim ko chhod ( چھوڑ ) den
Natija :
agar namaaz-e-shab ki wajah se namaaz-e-subh qaza ho to namaaz-e-shab tark kar den, waajib ko mustahab par feda wa qurbaan nahi kiya jaa sakta hai ye aur qaza namaazen padhna shariat ka hukm hai
Namaaz-e-subh qaza hone ke asbaab :
maaddi wa maanawi donon ho sakte hain
Maaddi :
jaiyse zindagi me nazm wa maamul ka na hona, raat ko der se sona, sone ki jagah ka monaasib na hona, raat me thak jaane waala kaam karna, raat me moragh'ghan ( مرغن ) khaana khaana, zarurat se zeyaadah khaana, tambaaku noshi, susti wa kaaheli, sust wa kaahil afraad ... ke saath rahna ...
maanawi :
jaiyse eimaan ki kamzori, namaaz ko ahamiyat na dena
agar namaaz ke waqt safar karna ho ya kisi badi shakhsiyat ya dost ... se milna ho to outh ( اٹھ ) jaate hain
lekin namaaz ke liae nahi outhte, haqiqat me aiyse log aek dost wa shakhsiyat ke baraabar bhi namaaz ko ahamiyat nahi dete hain
azm-o-aeraade ka kamzor hona, gunaah jaiyse akhlaaq baakhta filmen dekhna ...
Raahe hal :
subh sawere bedaar na hone aur namaz-e-subh ke qaza hone me jo maaddi wa maanawi awaamil wa asbaab hain oun se parhez karna, raat ko sone se kuchh der qabl khoraak khaana
baa wozu sona, sone ke pahle istighfaar karna, surah tauhid ( qul howal'laho ahad ) padhna, salawaat wa makhsusan janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ki tasbih padhna
apne nafs se kahkar soen ke mujhe namaaz ke liae outha dena aur kisi se outhane ke liae kah kar sona ...
Note :
imaam-e-saadiq ( عليه السلام ) se puchha gaya aakhir zamaana me zindagi basar karne waalon ke rizq-o-rozi me tangi keyoun hai ?
aap ne farmaaya :
isliae ke zeyaadah tar oun ki namaazen qaza hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / شوال / 1440ھ.ق
Subscribe us on youtube