sawaal az : khaahar-e-geraami / mozaffarpur
Salam
Mujh se kisi ne yahaa sawaal kiya tha
Ki uska shohar kanhi hospital me gaya hai aur woh kaafir... hai Dr. usne chai badhaya ek bar mana kiya aur dobara phir le ke aaya aur kaha ki aap pi lijiye to uske shohar ne pi li chai sirf is bina par ki Dr. ko feeling na ho jaye to kiya ye sahi hai
40 deen tak to dua qabul nahi hoti
40 deen me shohar usse mubasarat ya jema kar sakta hai
Isse bacche par to bura asar nahi parega
jawaab :
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمةالله و بركاته40 dinon ke darmeyaan mobaasherat wa jema karne me shar'an koei haraj nahi hai albatta haraam loqma ka asar nutfa aur aulaad par zarur padta hai
jis tarah vitamin aur protein ka musbat asar nutfa aur bach'che par hota hai ousi tarah haraam ghezaaon ( غذاؤں ) ka manfi asar nutfa aur bach'che par padta hai
imaam baaqir ( عليه السلام ) se surah isra aayat 64 "...oun ke amwaal aur aulaad me sharik ho ja..." ke baare me mohammad bin muslim ne puchha aulaad me shaitaan ki moshaarekat ka matlab keya hai ? to aap ne farmaaya :
Mafhum :
har wo maal jo haraam tariqe se haasil ho ous me shaitaan sharik hai aur jab mard jema wa mobaasherat karta hai to is amal me shaitaan bhi sharik ho jaata hai
nutfa ka aek hissa shaitaan ka ho jaata hai aur aek hissa mard ka yaani nutfe me donon ki moshaarekat ho jaati hai
baaqi tafsil niche bataae gae jawaab me padh len
Note :
1. haraam khaane ke mokhtalif masaadiq hain oun me se baaz ghasbi gheza, haraam kamaaei aur najis khoraak hai
2. haraam gheza ka asar jism se kaise khatm karen ?
jismaani taur par is qadr sakht kaam... karen ke haraam tariqe se jo khun bana hai wo khatm ho jaae aur ous ki jagah dusra khun ban jaae
ya haraam gheza ke zariae badan ka jo ghosht bana hai wo pighal ( پگھل ) kar taaza ghosht ban jaae
jism se zaa'aed charbi ya wazn kaise kam karte hain ? ousi tarah yahaan bhi karen jaise jismaani warzish karna ...lekin behtarin tariqa roza rakhna hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
24 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق
Subscribe us on youtube