Salamun alaikum aagha
Mere ilm me ye baat aai hai ki, Aaiyatullah sistani sahab ke khums ke masle me khuch tabdili hui hai.
Jaese maqrooz par khums nahi hai. Agar sahi hai to wazahat farma den.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
khums ke masaa'ael bhi bhot tafsili hain lehaaza jis mas'ale me tabdili huei hai ous ki neshaan dehi kar dete to behtar tha mujhe kisi tabdili ka eilm nahi hai
bahar kaif qarz ke ta'alluq se khums ki do surat hai :
1. aap ne kisi ko qarz diya hai keya ous raqam par khums hai ya nahi ?
is baare me tamaam maraaje keraam ka fatwa ye hai :
khums nikaalne ki jo taarikh hai agar ous waqt tak ( zahmat wa parishaani ke be ghair ) ous raqam ko wosul karna momkin hai to ous ka khums den.
agar wosul karna momkin nahi hai to ous raqam ko jab bhi daryaaft kar liya fauran ous ka khums den
2. aap ne khud qarz liya hai to qarz ki asl raqam par khums nahi hai
( tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len )
Note :
maalumaat ke liae niche "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
25 / صفر / 1441ھ.ق