Salam ya Ali madad mera sawaal hai ke maula ali a.s ke naam ke sath "JJH:- jalle jalaal-lahu" (allah ka jalal) laga sakte hain ?
Jawaab :
باسمه تعالى
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
Tamhid :
Khoda ka naam " allaah " hai is ke baad chand kalemaat likhe wa kahe jaate hain , misaal ke taur par :
Subhaanahu ( سبحانه ) allaah paak hai
Tabaaraka wa ta'aala ( تبارك و تعالى ) allaah buzurg wa aali hai
Az'za wa jal (عز و جل ) ous ki izzat our buzurgi ho
jal'la shaanoh ( جل شانه ) ous ki shaan badi hai
jal'la wa ala ( جل وعلا ) khodaae buzurg wa bartar
our jal'la jalaaloh ( َّجَل جَلَالُه ) ous khoda ki azmat wa shaan badi hai
ye kalemaat khoda ki sefat ke taur par istemaal hote hain our ous ki zaat se makhsus wa khaas kiye gae hain
is tarah ki misaal maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke liye bhi milti hai , jaiyse hamaare saare imaam ( سلام الله عليهم ) amirul momenin ( امير المومنين ) ; momenin ke amir wa sardaar hain
lekin ye hazrat ali ( عليه السلام ) se makhsus hai kisi our imaam ke liye istemaal nahi kar sakte
urdu wa faarsi me bhi ham ko is tarah ki misaalen milti hain jaiyse marhum ya marhuma ( مرحوم / مرحومہ ) jo mara huaa ho ous se makhsus hai
jab ke har insaan ko marhum hone ki doa karni chaahie is liye ke marhum ka matlab hai rahmat kiya gaya
maahe ramzaan ke aakheri jum'aa ki doa me hai :
" ... faj'alni marhuma wa laa taj'alni mahruma "
"فا جعلنی مرحوما و لا تجعلنی مرحوما .."
ya motabar tarin zeyaarat , zeyaarat-e- aminullaah me hai :
jo aank khuf-e-khoda me roti hai wo " marhuma " ( rahmat ki gaei ) hai
ya urdu me sal'lamahu wa sal'lamaha ( سلمه / سلمها ) khoda tumhen salaamat wa mahfuz rakhe choton se makhsus hai
Beraadar-e- aziz se kahunga aap kisi ke zinda maa baap , miya bivi ... ko marhum wa marhuma kah kar dekhen keya hota hai ? ous ka radde amal keya hoga ?
jab ke doa ki jaa rahi hai " Ay khoda mujhe marhum qaraar de "
ya kisi buzurg se kahen "sal'lamahu" keya haal hai? phir dekhen keya hota hai ?
buzurg shaayad kahen tumhen baat karne ki tamiz nahi hai
Natija :
jis tarah amirul momenin hazrat ali ( عليه السلام ) se makhsus hai kisi our ko na kah sakte hain our na hi likh sakte hain
urdu our faarsi me marhum wa marhuma murda mard wa aurat se makhsus hai kisi zinda ko nahi kah sakte hain
isi tarah " jal'la jalaaloh " ( جل جلاله ) ... khoda se makhsus hai , ous ki zaat ke liye istemaal hota hai , hazrat ali hatta rasul-e- khoda ( صلوات الله عليهم ) ke liye istemaal nahi kar sakte hain
lehaaza in ke naam ke baad likhna wa kahna sahi nahi hai jab ke loghat ke aetebaar se aap hazaraat ki bhi azmat wa shaan badi hai , aap mazhar-e- sefaat-e-khoda hain
na kahne ki wajah se aap ki azmat wa shaan par koei farq nahi pade ga
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e- aedaara-e- daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran
29 / جمادىالثانى / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel