Log bibi zainab (sa) ki chadar ka waasta dekar salam kartey hain... Kya Yeh sahi hai?
Mainey Kal majlis me sunna hai... Ki
Wasta de kar... Jaisey moula ke katey shaano ka wasta... Aisa dua Maang ne se moula ko takleef hoti hai... Balke dua karney ka saleeqa Yeh hi... Ahlebait ke sadqey me... Unki aal ke sadqey me dua mangni chahiye
Jawaab:
باسمه تعالى
سلام عليكم
janaab-e-zainab ( سلام الله عليها ) ki chaadar ya janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke kate baazu se tawassul our in ka waasta dekar doa maangne me koei haraj nahi hai
Note :
1. agar dusron ko janaab-e-zainab ( سلام الله عليها ) ki chaadar ya janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke kate baazu ya in hastiyon ki qasam dekar koei kaam karaana chaahe to ous par zaruri our waajib nahi hai ke ous kaam ko anjaam de
2. behtar hai niche "CLiCk HERE" pe click kar ke video bhi dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق