Kya shaadi ke liye masomeen me se kisi ne istekhaara dekha tha? ya kisi sahabi ko...? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, December 11, 2019

Kya shaadi ke liye masomeen me se kisi ne istekhaara dekha tha? ya kisi sahabi ko...?

Sawaal az : +91741649.....

Salam
 Hazur Aap se istekhaare ke hawale se maloom karna tha... Kya shaadi ke liye masomeen me se kisi ne istekhaara dekha tha ya kisi sahabi ko imam ne ye kaha ho istekhaare par bina rakkhe waghayra....
 Riwayi adilla chah raha tha... Kotob ke hawale ke saath
 Zahmat maaf


Jawaab :

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


is baat ko samajhne ke liye pahle istekhaara ke matlab par ghaur karna zaruri hai. istekhaara ke do mtlab hain :

1. Apne tamaam omur me khoda se khaiyr wa bhalaaei talab karna , kaam karne ke ta'alluq se shak o tardid ho ya na ho

har kaam ke pahle masalan kahen " asta khirullah ( اَستَخِيرُالله ) " khoda se talab-e- khaiyr karta / karti hun , dar waaqe ye doa hai our khoda se madad talab karna


istekhaara ka haqiqi matlab yahi hai rewaayaat me istekhaare se moraad zeyaadah tar yahi matlab hai yaani khoda se khaiyr wa bhalaaei talab karna

rewaayaat me is istekhaare ki taalim di gaei hai our bhot taakid bhi ki gaei hai

ye hadis-e- qudsi imaam-e- saadiq ( عليه السلام ) se manqul hai :


 مِن شَقَاءِ عَبدِى اَن يَعمَلَ الآعمَالَ وَلَا یَستَخِيرُنِى

( wasaae'lush shia jild 8 p 79 )


khoda ne farmaaya :

" mere bande ki bad bakhti me se ye hai ke apne kaamon ko mujh se istekhaara ( talab-e- khaiyr ) kiye beghaiyr anjaam de "

rewaayaat me jis tarah har kaam karne ke pahle  bismil'laahir rahmaanir rahim ( بسم الله الرحمن الرحيم ) kahne ki taakid wa sefaarish ki gaei hai ousi tarah har kaam ke pahle khoda se talab-e- khaiyr ki taakid wa sefaarish ki gaei hai

2. kisi kaam ko anjaam dene me shak o tardid , sargardaani our do dili ho to is haalat se nikalne ke liye istekhaara kare , yaani khoda se mashwera kare , madad talab kare ke is kaam ko anjaam dun ya na dun ?


ye istekhaara maqaam-e-  shak o tardid se makhsus hai
aam logon ke darmeyaan  yahi istekhaara zeyaadah raaej hai. do dili ke waqt isi istekhaara ke liye kaha gaya hai our is ke mokhtalif tariqe bhi hain

sirf aek tafsili rewaayat ka khulaasa molaaheza farmaayen :

ishaaq bin ammaar kahte hain maiyne imaam-e- saadiq ( عليه السلام ) se arz kiya ke kabhi aiysa hota hai ke kisi kaam ko anjaam dene ke pahle taraddud wa shak me pad jaata hun ke aaya is kaam ko karun ya na karun ? to imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya :

jab bhi aiysa ho to 2 rak'at namaaz padho phir aek saaw aek ( 101 ) martaba khoda se talab-e- khaiyr karo ( masalan namaaz ke baad 101 martaba " astakhirullah " (اَستَخِيرُالله ) kaho ) is ke baad dekho ke kaam karne par yaqin o jazm haasil huwa hai ya na karne par , agar anjaam dene par yaqin wa jazm haasil hogaya to anjaam do , agar na karne par yaqin haasil huwa to na karo , inshaa allah khaiyr ousi me hai

( Forue kaafi jild 3 p 472 baab salaatul istekhaara )


is istekhaara ko qalb wa dil ka istekhaara kahte hain. dar waaqe is istekhaara ke baad istekhaara karne waale ke qalb wa dil par kaam karne ya na karne ke ta'alluq se ilhaam hota hai


Asl jawaab :

Maasumin ( صلوات الله عليهم ) har kaam ke pahle istekhaara ki pahli qism par amal karte the our as'haab wa dusron se bhi kahte the. alag se yani makhsusan shaadi ke liye istekhaara karne ke ta'alluq se mujhe nahi mila

rewaayaat ke motaabiq har amr wa kaam ke pahle istekhaara karne ke liye farmaaya hai . is omumi taalim me shaadi bhi aa'sakti hai


shaayad kisi ke zehan me aae ke jab har kaam ke pahle istekhaara ki is qism par amaal karte the to aa'aesha wa hafsa se shaadi ke pahle bhi ye istekhaara kiya hoga lekin donon biviyaan rasul-e- khoda (صلى الله عليه وآله ) ke liye khaiyr nahi thin balke shar wa buri thin

is ke mokhtalif jawaab hain ba'taure aeshaara sirf aetna arz kardun ke ye shaadiyaan in donon ke qabile waalon ke shar wa noqsaan ko dur karne  our oun ko qarib ( taalif-e- qalb ) karne ke liye thin taake islaam wa muslemin ko noqsaan na pahunchaaen ya kam pahunchaaen , arab me dastur tha ke agar kisi qabile me kisi ki shaadi ho jaati thi to daamaad ko noqsaan nahi pahunchaate the
is shaadi me is tarah ka khaiyr poshida tha dar haqiqat ye shaadiyaan daakheli seyaasat wa monaafeqat ke peshe nazar thin

Istekhaara ke dusre matlab ko madde nazar rakhte hue aaya maasumi ( سلام الله عليهم ) ne istekhaara kiya ya nahi ?

Aap hazaraat ilm , aql , aagaahi waghaiyrah ke aetebaar se insaan-e- kaamil the , haiyrat , shak o tardid , do dili our pashimaani se paak o paakiza the aap ki zindagi me shak o pashimaani naam ki koiy chiz nahi thi lehaaza is tarah ka istekhaara nahi karte the , aap hazaraat ko is trah ke istekhaare ki zarurat hi nahi thi

albatta dusron ko is ki taalim di our farmaaya ke jab bhi fikr o aql ke zariye shak o taraddud dur na ho to qaabile aetebaar shakhs se mashwera karen is ke baad bhi dur na ho to khoda se mashwera karen yaani dusre matlab ke peshe nazar istekhaara karen , kisi baat ke karne na karne me khaas tariqon se raah'numaaei talab karen

is se mota'alliq bhot saari rewaayaten hain sirf do ketaabon ke hawaale par aektefa kartahun

istekhaara ke shar'ei hone par is tarah ki rewaayaat behtarin dalil hain

( Forue kaafi jild 3 p 450 ketaabus'salaat baab salaatul istekharah / man laa'yahzarohul faqih jild 1 p 355 baab salaatul istekhaarah )


Note :

baaz momenin ki farmaaeish par bhot pahle istrkhaare se mota'alliq aek mokhtasar resaala manzare aam par aa chuka hai inshaa allaah pdf bhej diya jaae ga

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

25 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen