As Salam O Alaikum Wa Rahmatullahe Wa Barkatahu
Que.1 Kya Ghair Musalmaan Ke Liye Salamati Ki Dua Kar Sakte Hai ..??
Que.2 Namaze Shab Rat Me 12 Baje Padh Sakte Hai Ya Subah Ke Namaz Se Pehle Hi Padhna Zaruri Hai ..??? Namaze Shab Ka Tarika Bhi Bata Dijiye ...
Shukriya , Khuda Aapko Aala Maqaam Ata Farmaye Aameen
Aayatullah Syed Ali Al Sistani Sahab
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
(1) ji kar sakte hain
Note :
ghair muslim ( munharif wa gumraah ) 2 tarah ke hain , moaanid ( معاند ) wa zaalim our mustaz'af ( مستضعف )
1. moaanid wa zaalim :
moaanid wo geroh hai jo haq ko jaanta hai ya nahi jaanta magar jaan sakta hai is ke baa'wojud hawas , ghorur o takabbur wa aehsaas-e-bartari ... ki wajah se haq ko qabul nahi karta hai , baatil hi par baaqi rahta hai
yahin baat khatm nahin hoti , haq our islaam o muslemin ki tahqir our in se dush'mani , adaawat our sar kashi par outar aata hai ...
is geroh ke aenaad wa dushmani our mokhaalefat ka sabab jehaalat nahi hai balke khud khaahi , ghorur o takabbur our hawaae nafs ... hai
2. mustaz'af :
ye geroh munharif wa gumraah hai lekin moaanid nahi hai is ki gumraahi wa inheraaf , aenaad wa dushmani ki wajah se nahi hai balke jehaalat ki wajah se hai
haq ko nahi samajh sakta hai imkaanaat wa wasaa'ael nahi hain ya zehni wa fikri aetebaar se koei mushkil hai ya rishtedaaron , qabila , qaum our party ka khauf hai ya haq , islaam our musalmaanon ke khelaaf intehaaei zahrile our ghalat propaganda ke jaal me phans ( پھنس ) gaya hai ...
pahla geroh sarkash , zaalim our moaanid hai ye qaabil-e-islaah nahi hai cancer ki tarah hai
lehaaza is geroh ki salaamti ... ke liae doa nahin kar sakte hain
hadis hai :
مَن دَعَا لِظَالِمِِ بِالبَقَاءِ فَقَد اَحَبَّ اَن يُعصَى اللهُ فِى اَرضِهِ
" jo shakhs zaalim ki baqa wa tul-e-oumr ke liae doa kare to aiysa shakhs chaahta hai ke khoda hi ki zamin par ous ki naafarmaani ho "
islaam me aiyse dush'manon our moaanid gerohon se moqaabela our nimatne ke liae khaas tariqe bataae gae hain ...
( naasebi ka hukm bhi yahi hai yaani ous ke liae bhi doa nahi kar sakte hain )
dusre geroh ki salaamti , hefaazat , rizq ... makhsusan hedaayat ke liae doa kar sakte hain
mokhtasar ye ke is geroh ke liae maaddi wa maanawi omur ke mota'alliq doa kar sakte hain
( sirf talab-e-maghferat nahi kar sakte hain / surah tauba 113 )
khosusan agar dusra geroh rasul-e-akram our aap ke ahle bait ( صلوات الله عليهم ) se aqidat wa mahabbat rakhta hai to ous ke liae doa kar sakte hain
hindustaan waghiyrah me dusre geroh ki taadaat ach'chi khaasi hai
Marvi hai :
rasul-e-khoda ( صلوات الله عليه و آله ) ne kisi ko aek yahudi ke paas qarz lene ke liae bheja , ous ne qarz de diya phir bhi wo yahudi khud aap ki khidmat me aaya our aap se pucha aap ki mushkil hal ho gaei ? to aap ne farmayaa han ... ous yahudi ne rasul-e-geraami ( صلی الله علیه و آله ) se kaha agar is ke aelaawah koei bhi zarurat ho to mere paas paiyghaam bhejwa dijiae ga takalluf na kijiae ga
rasul-e-maqbul ( صلوات الله و سلامه عليه و آله ) ne ous yahudi ke liae is tarah doa ki :
اَدَامَ اللهُ جَمَالَكَ فَعَاشَ اليَهُودِىُّ ثَمَانِينَ سَنَةََ ، مَا رُئِیَ فِى رَاسِهِ طَاقَةُ شَعرِ بَيضَاءُ
" khoda tumhaare jamaal wa khubsurati ko hamesha rakhe , pas yahudi 80 saal zinda raha our ous ke sar ka aek baal bhi safed nahi huaa "
is hadis se istefaadah hota hai ke hindustaan waghaiyrah me jo ghair muslim rasul-e-khoda our aap ke ahl-e-bait ( سلام الله عليهم ) se aqidat wa mahabbat rakhte hain oun ke saath hamaara soluk nehaayat ach'cha hona chahiae , maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki sirat bhi yahi rahi hai
kashmir our baabri masjid ke mota'alliq adaalat-e- ouzma ke faisla ... ke khelaaf sab se pahle baaz hindu bole , buzdil musalmaan ... to dare huae the
ya haaliya " shah'riyat ke motanaaza bill " ( controversial citizenship bill ) ke khelaaf mozaahera karne waale jamia millia islamia ke talaba wa taalebaat par police our sharaarati wa moaanid geroh ke zaalemaana , wahshiyaana our bad'tarin tashaddud ke khelaaf hinduon ne bhi awaaz baland ki , zaahir hai aiyse munsif hinduon ke saath ham log husn-e-soluk ke saath pesh aaen
(2) dusre sawaal ka jawaab baad me diya jaae ga انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
20 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
20 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel