AsSalamalykum agha..
Allah Se Dua Karta hun ki aap Khairiyat Se Ho..Aur Allah Apko kamyabi aur Tarraqi Aata Kare...
Mera Naam Zishan hai..
Main Agha Sistani Sahab ki Taqleed karta hu...
Mera Sawaal hai Ki Kya Aaj-kal Jo log mannat Maante hain ki Ye Mannat puri Ho jaegi to Bibi (s.a) ki kahaani Sune ge kya Aisi Baaten kisi Motabar Kitaab Se Saabit Hai ??? kyu ki Hamaare Samne Mosoomeen (A.S) ki Haqiqat Hai Aur Ham Log kahani Sunne me busy hai..
Agar Aisa Hai To plz kitaab Ka Reference bhi bata dijiyega...
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
man'nat ( nazr ) maan'na ye hai ke insaan khoda ke liae apne oupar waajib kare ke kaar-e-khair ko baja laae ya wo kaam jis ka na karna behtar hai tark kare
janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ke mota'alliq motabar waaqeaat , qisse our sach'chi wa akhlaaqi ... kahaaniyaan
jaise hadis-e-kesa , apne pairaahan ko girwi ( rehan ) rakh kar zarurat mand ki zarurat puri karna ... shaadi ki poshaak saa'ael ko dena , haar dena , be misaal taqsim-e-kaar . ghar ka saara kaam aek din khaadema anjaam de our maaleka aaraam kare our dusre din ghar ka saara kaam maaleka anjaam de taake khaadema aaraam kare ya ghar ke andar ka kaam khud karen our ghar se baahar ka aap ke shauhar , waqt-e-welaadat janaab-e-khadija ( سلام الله عليها ) ki madad ke liae janaab-e-saara , janaab-e-aasiya , janaab-e-maryam , our khaahar-e- janaab-e-musa janaab-e-kulsum = کُلثُم ka aana , mokhtasar ye ke qabl-e-welaadat our baad-e-welaadat wa shahaadat ke tamaam waaqeaat wa sach'chi kahaaniyaan kaar-e-khair ke mohim misdaaq me se hain
lehaaza sach'chi kahaaniyaan sunne ki mannat wa nazr maanna sahih hai
in waaqeaat our sach'chi kahaaniyon me dunya bhar ki tamaam khawaatin khosusan ahl-e-eimaan ke liae azimush'shaan dars maujud hai sabaq aamoz wa ibrat naak hain insaanon ke liae mash'ale raah hain
lehaaza in ko bayaan karna , padhna our sunna insaani zindagi me ilhaam bakhsh hain
Note :
Mazeed maalumaat ke liye "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna -shoba-e-sawaalaat Qum / iran
8 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق