Salamun alaikum Wrb
Janab-e-Fatema binte asad ki wiladat or wafat ki tarikh kya hai
Ek dost ne
Aaj ki tarikh 23 safar ki batayi hai kya Ye sahi hai
Shukriya
Agar ho sake to abhi jawab dede Maherbani
Jaldi ke mazerat chahta Hu
Ek dost ne
Aaj ki tarikh 23 safar ki batayi hai kya Ye sahi hai
Shukriya
Agar ho sake to abhi jawab dede Maherbani
Jaldi ke mazerat chahta Hu
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
welaadat :
taarikh-e-welaadat maalum nahi hai hatta mahall-e-welaadat our saal ke baare me bhi daqiq ittela nahi hai
aap kab our kahaan paida huein is ta'alluq se aiysi koei baat nahi likhi hai jis par aetebaar kiya jaae
albatta baaz ketaabon me likha hai ke phalna phulna ( پھلنا پھولنا ) makkah me huaa
taarikhe wafaat :
wafaat ki bhi taarikh maalum nahi hai , motabar mowarrekhin ne bas aetna likha hai ke 4 hijri madinah me wafaat huei our baqi me supurd-e-khaak kiya gaya
aap ketne saal zindaah rahin is ke mota'alliq mokhtalif aqwaal hain , 60 saal 65 saal our 70 ... saal bhi likha hai
Note :
sirf janaab-e-faatemaah bint-e-asad ( سلام الله عليها ) aiysi zaat nahi hain jin ki taarikhe welaadat wa rehlat nahi maalum hai balke aalam-e-islaam ki dusri shakhsiyaat bhi isi tarah hain , is ke mokhtalif asbaab wa awaamil hain ...
baaz asbaab ki taraf isse pahle aeshaara kiya gaya hai niche "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len
والسلام
syed shamsha ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
24 / صفر / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel