Sawasl az : .....
Salamunalaikum
Sab khairiyat Allah aap ko salaamat rakhe.
mera sawaal hai ke kya khade ho ke ham istinja kar sakte hain ? agar majburi ho ya na ho.
aur agar khade ho kar istinja kare toh paak kaise ho maslan pant pe pura chhee'ta lag gaya.
pant pe chhee'ta nahi laga ye agar confirm hai to sirf private part ko tissue paper se paak kare to kya paak hai ?
aur agar khade ho kar istinja karne ke baad fauran underwear pehen liye to kya dusra under wear pehen lena zaroori hai ya usi underwear ko paak kar ke phir se pehen len. to kya is surat mein paak hai.
mein Ayatullah Sistaani ke taqleed me hoon
jawab ka muntazir hoon
Please do not put my number and name in the message while giving reply
Jawaab:
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
ji khade ho kar kar sakte hain
khade ho kar istinja (استنجا) karen ya baith kar tariqa aek hi hai
Peshaab karne ke baad paak karne ka tariqa :
peshaab ka maqaam sirf paani se paak hoga (paani ke aelaawah kisi aur chiz jaiyse pat'thar (پتھر) tissue paper waghairah se paak nahi hoga)
aabe kur ya supply ke paani (urban plumbing pipe) ya aabe qalil se aek martaba dhona kaafi hai
albatta aehteyaate mustahab ye hai ke aabe qalil se do martaba dho'aen aur afzal wa behtar ye hai ke 3 martaba dho'aen
agar badan ya kapde par najaasat lag gaei hai to wo najis hai
jahaan najaasat lagi hai sirf ousi hisse ko paak kar len kaafi hai
kapde ko paani se paak karna zaruri hai
Paakhaana karne ke baad paak karne ka tariqa :
paak wa khushk pat'thar ya mitti ke dhele ya kapde ya tissue paper ya is ke maanind chizon se bhi paak kar sakte hain albatta paani se dhona behtar hai
Tin surat me paakhaana ka maqaam sirf paani se hi paak hoga :
- paakhaana ke saath ous ke pahle ya baad me dusri najaasat jaiyse khun baahar nikle aur paakhaana ke maqaam par lag jaa'ae
- paakhaana ke maqaam par baahar se koei najaasat lage jaiyse khun ya peshaap waghairah
albatta agar aurat ke maqaame paakhaana par peshaab lag jaa'ae to wo pat'thar waghairah se bhi pak kar sakti hai - maqaame paakhaana ke atraaf me maamul se zeyaadah najaasat phail (پھیل) gaei ho
Note :
- istinja ka matlab :
- istinja khud ba khud waajib nahi hai balke oun aebaadaton ke liae zaruri wa waajib hai jis me badan ki tahaarat shart hai jaiyse namaaz ...
is surat ke aelaawah mustahab hai - agar kahin paani nahi hai to peshaab karne ke baad tissue paper waghairah se apne badan ko khushk kar len taa'ke najaasat dusri jagah (badan ya lebaas) saraayat (سرایت) na kare, jab ghar ya aiysi jagah pahunch jaa'aen jahaan paani hai to wahaan apne badan ko paani se paak kar len
- mazid tafsilaat tauzihul masaa'ael me dekh len
fiqh ki istelaah me peshaab wa paakhaana karne ke baad paak karne ko istinja kahte hain
mauzu ke mota'alliq maalumaat ke liae niche di ga'ei surkhi (headline) par click karen
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
5 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق