Salam
Mera sawaal hai ki durood-e-ibrahim konsa durood hai iske bare me bataiye our isko log q padhte hain our ham shia logo ke yahaa durood-e-mohammad wa ale mohammad padhte hain our gair-e-shia durood-e-ibrahim q padhte hain keya padhna sahi hai ya nahi?
jawaab :
باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
dorud ya salawaat-e-ibraahimi ki matn wa aebaarat :
اللهم صَلِّ علی محمد و علی آل محمد کَما صَلَّیتَ عَلی ابراهیم و علی آل ابراهیم اِنَّک حمید مجید اللهم بَارِک علی محمد و علی آل محمد کَما بَارَکتَ علی ابراهیم و علی آل ابراهیم انک حمید مجید
ahl-e-sunnat is zikr ko namaaz ke aakheri tashah'hud ke baad padhte hain ( agar namaaz 2 rak'ati hai to dusri rak'at me tashah'hud ke baad , agar 3 rak'ati hai to tisri rak'at me tashah'hud ke baad , agar 4 rak'ati hai to chauthi rak'at me tashah'hud ke baad padhte hain )
ahl-e-sunnat is zikr ko is liae padhte hain ke oun ki rewaayaat me padhne ke liae kaha gaya hai , mash'hur rewaayat " kab bin ajrah ( کعب بن عَجرَه ) " se marvi hai
shia hazaraat bhi is dorud ke moshaabeh namaaz-e-janaaza wa ghairah me padhte hain ( ye tafsili dorud hai ) magar aek mohim farq ke saath :
sunni is tarah padhte hain :
... اللھم صل علی محمد و علی آل محمد...
... اللھم صل علی محمد و علی آل محمد...
lekin shia hazaraat is tarah padhte hain :
... اللهم صل علی محمد و آل محمد ...
jis tarah shia namaaz wa ghair namaaz me salawaat padhte hain ousi tarah rasul-e-khoda ( صلی الله علیه و آله ) ne hukm diya hai , yaani " alla humma salle ala mohammad wa aal-e-mohammad "
hatta bhot saare olamaae ahl-e-sunnat kahte hain ke namaaz me " alla humma salle ala mohammad wa aalehi wasallam ( اللهم صل علی علی محمد و آله وسلم ) " padhna tamaam dorud se behtar hai , is liae ke is me dorud our salaam dono hai ...
bahar haal jo sunni naaqis salawaat padhte hain yani " alla humma salle ala mohammad / اللهم صل علی محمد ( beghair aal / آل ke ya aal ke baad as'haab ka aezafa karte hain yaani is tarah :
" allahumma salle ala mohammad wa aale wa as'haab-e-mohammad /
اللهم صل علی محمد و آل و اصحاب محمد
ye ghalat wa bid'at hai our rasul-e-khoda ( صلی الله علیه و آله ) par jafa wa zulm hai , fariqain ke darmeyaan rasulullah ( صلی علیه و آله ) se marvi sarih hadis ki khelaaf warzi bhi hai
jo log kalemae " aal-e-mohammad " ko be ghair " ala " ( harf-e-jar ) ke istemaal karna chaahte the yaani sirf " alla humma salle ala mohammad " ounho ne " aal " ko hi salawaat se hazf kardiya , aiyse logon ki misaal aiysi hai jaiyse abru ( bhaun /بهوں ) ko saaf karne ke ba jaae aankh hi phod li
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / ربیع الثانی / 1441 ھ.ق