sawaal az : +257......70
As Salam Aleikum
Mere father khud ka Ghar bana rahe hain. Lekin un par muncipalty aur area engineer ne case kar Diya Hai...
aur case ki har month me 2 - 3 Baar court Jana padta hai.. aur jab bhi jaate hai wo log ko rishwat Dena padta hai... Plz koi aise dua bataeye jisme .. wo case papa ke haq me ho jaye aur case band ho jaye
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
tin doa aap ki khidmat me pesh kar raha hun, khoda be'haqq-e-mohammad wa aal-e-mohammad wa shohada aur asiraan-e-karbala aap logon ki mushkil ko hal kare
-
اَللَّهُمَّ اجعَلنِى فِى دِرعِكَ الحَصِينَةِ اَلَّتِى تَجعَلُ فِيهَا مَن تُرِيد
Allaa hum'maj alni fi dir'ae kal hasina al'lati taj alo fi'haa man torid
"ay khoda mujhe apni mustahkam wa qawi zerah me qaraar de aiysi zerah jis me tu jis ko chaahta hai qaraar deta hai ( panaah deta hai )"
ye doa imaam saadiq ( عليه السلام ) se marwi hai, aap ne farmaaya is doa ko subh-o-shaam tin martaba padhna kabhi na chhodna
phir aap ne farmaaya ke mere baba farmaate the ye doa, doa ke khazaane me se hai
( mohammad wa aal-e-mohammad صلوات الله عليهم ke khazaana wa asraar me se hai )
( osul-e-kaafi jild 2 p 534 ketaabud doa ) -
imaam-e-zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) se naql hai ke mushkelaat dur hone ke liae ye doa padhi jaa'ae
يَا مَن اِذَا تَضَايَقَتِ الاُمُورُ فَتَحَ لَهَا بَاباً لَم تَذهَب اِلَيهِ وَهم يَا اَرحَمَ الرَّاحِمِين
Yaa man aeza tazaa'yaqatil omur fataha lahaa baaban lam tazhab aelaihe wah'mun ya ar'hamar raahemin
-
daf'ae bala wa buraa'ei ke liae ye doa mofid hai
اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ آلِهِ وَ اَمسِك عَنَّا السُّوء
Alla humma salle alaa mohammad wa aalehi wa amsik an'nas su
aap ke baba jab court jaa'aen to ous waqt zarur in doa'on ko padhen
Note :
- mazid doa ... wa mushkil,takleef, qarz, gham-o-andoh se nejaat paane ka tariqa jaanne ke liae CLICK HERE
- doa ke saath mushkil hal hone ke liae tadbir wa amal bhi zaruri hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
۔25 / صفر / 1441ھ.ق
subscribe us on youtube