agar kajal laga ho to kya gusl ho sakta hai tab bhi? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, December 11, 2019

agar kajal laga ho to kya gusl ho sakta hai tab bhi?

Sawaal az :- mohtarama janaab faatema sb ( muscat )

Ek question hai ke agar kajal laga ho to kya gusl ho sakta hai tab bhi?

jawaab :

                           باسمه تعالى

                           سلام عليكم


agar aankho ke baahar laga ho ya palakon ke oupar ke hisse par laga ho our ous ke zarraat ( maadda ) is tarah lage hon ke khaal par paani pahunchne me rokaawat bane to wozu wa ghusl nahi ho sakta hai , wozu ya ghusl ke pahle ous ko bar'taraf karen

lekin agar aankhon ke andar laga hai aankhon ke zaaheri hisse par nahi laga hai ( is tarah ke jab aankhon ko band karen to kaajal / surma dekhaaei na de ) to ous par wozu ya ghusl kar sakti hain sahih hai bar'taraf karna zaruri nahi hai kaajal / surma ke zarraat lage hon ya na lage hon


Note :

(1)- jab kaajal / surma ... ke zarraat ko bar'taraf kar diya lekin ous ka sirf rang baaqi hai to wozu wa ghusl sahih hai is liae ke sirf rang khaal par paani pahunchne me rokaawat nahi hai

(2). mazid maalumaat ke liae niche sawaal jawaab ke headline di gayi hai padhne ke liye "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len.....

1.
Headline👇
kya ham sar par tel ya gel hone se namaz padh sakhte hai kya?

2. 


Headline👇

kya hum hair transplant karwa sakte hai ??

3. 


Headline👇
Tatoo ke mutalik batae pls. kya ye jayaz hai hamare yaha ki nahi aur hai to kis type ka permanent tatoo ya fir temporary wala?


4
Headline👇


khawatin hath wa payron par wax laga sakti hain ?



والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patba shoba-e-sawaalaat qum iran

20 / صفر / 1441 ھ.ق
  ◾ روز اربعین ◾
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen