Salamun alaikum Qibla mohtaram
Dua hai ki aap khairiat se hon
Aik mas'ale ki wazahat chahta hoon
1. Agar aik shakhs duniya se rehlat kar jaye aur usne kabhi Khums nahin nikaala ho to uska Khums kayse nikaala jaye aur kya ye Khums uske chaliswen se pahle nikaalna zaruri hai Jabki chhori huyi raqam se Mayyit ka chaliswaan bhi hona hai?....
2. Kya newta Jo log shadi mein dete hain wo aamdani mein shumaar hota hai aur usper Khums hoga?
3. Agar Mayyit ka zewar maujood ho aur wo wasiyyat kar gayee'n hon ki unki aulaadon ke bach'chon ko wo zewar diya jaye to kya usper Khums hai Jabki ye nahin maloom ki in zewaron per Khums nikla tha Ya nahin....
Wslm
Muqallid Ayt Uzma Seestani sahab
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
1. agar ous shakhs ka aeteqaad khums par nahi tha ya khums nahi deta tha to waaris par ous ke maal se ya apne maal se khums dena waajib nahi hai
albatta shakhs ke zimme par khums rahe ga lekin jab waaris de den to saaqit ho jaae ga
2. ye hadiya hai lehaaza is ka shumaar Aamadani me nahi hoga lekin khums ke ta'alluq se is ka hukm wahi hai jo Aamadani ka hai yaani agar aek saal tak kharch ya istemaal nahi kiya to khums hai
lekin agar aek saal hone ke pahle hi zindagi ki zaruriyaat me kharch kar liya ya istemaal kar liya to khums nahi hai
3. agar ba taur-e-zewar wa zinat istemaal karti thin to khums nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / جمادى الاولى / 1441ھ.ق