Maulana saheb,: salamun alaikum,Mera saawal hai
Que 1, in Dono Dua me kaun sahi hai,?
(A) -Ya Allah sahebez zamaan (as) (12 Imam) ke zaoor me tazil ata kar or
(B) - kuch masjidon me bhi
direct bolte hain "ya sahebez'zamaan ibnel Hasan Askari a,s ajjul ala zahurik ,ya Dono sahi hai,?
Que 2,
ye Dua namaaz padhne ke baad Tasbih Fatema s.a padhne ke baad karna chahiae ya Tasbih Fatema s.a padhne ke pahle padh sakte hai?
Shadab ( Lucknow)
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
(1) dono sahih hai shar'ei aetebaar se koei haraj nahi hai
lekin behtar hai is tarah padhen :
اَللَّهُمَّ فَصَلِّ عَلَى مُحَمَّد وَ آل محمد وَ عَجِّل لِوَلِیکَ الفَرَج
allaa humma fasalle ala mohammad wa aale mohammad wa ajjil le waliaekal faraj
(2) namaaz ke baad sab se pahle tasbih-e-janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) padhna behtar hai phir koei dusra amal ya doa padhen
Note :
Mazeed maalumaat ke liye behtar hai ke "click here" pe click kar ke vidoe dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
9 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
No comments:
Comment