Sawaal az : mohtaram janaab zainul abbas hussaini sb (new Delhi)
Sawal hai ..
Welaayat taqooni kya hai ...?
aur kitne olama welaayat taqooni ke qaail hai ? albtta mustnad riwayat darkar hai
aur kya Allah ne duniya ka nizam Ablebait as ke supurd kardiya hai masln khaliq rajiq ..is sawal ka javb inyat farma de ...
shukita
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
- Takwini welaayat wa hokumat :
- Takwini hokumat wa welaayat ki 2 qismen hain :
- Zaati wa mustaqil :
- Arazi :
kaa'aenaat ke zarra zarra par Allaah ki welaayat wa hokumat aur aeqtedaar wa farmaan'rawaaei hai aur saari makhluq ous ke takwini hukm ke saamne sar nagun aur taabe'ae farmaan hai
kaa'aenaat ka sarparast, maalik wa modiro modabbir khoda hai
qur'aan ki be shumaar aayaat hain jin me Allaah ki takwini welaayat wa hokumat ki taraf aeshaara kiya gaya hai, jaiyse yaasin 82, shura 9 - 24, sajda 4, yusuf 101, qaaf 16
in aayaat me aeshaara huaa hai ke Allaah tumhaare aamaal wa aqwaal ke aelaawah tumhaare dil me outhne waale waswason ko bhi jaanta hai
saare olama Allaah ki takwini welaayat wa hokumat ke qaa'ael hain
kaa'aenaat par asli wa haqiqi welaayat wa hokumat khoda ki hai, ye shaan sirf khoda ki hai ye kisi Nabi, Rasul aur Imaam ko bhi nahin ye Allaah se makhsus hai
kaa'aenaat par Allaah ke aelaawah kisi ki bhi welaayat wa hokumat khud ba'khud wa mustaqil nahi hai balke Allaah ki wajah wa sabab se qaa'aem hai, ye faiz Allaah ki jaanib se insaane kaamil ko haasil hai
Misaal :
suraj ka nur aaeine par pade aur ye nur aaeine ke zariae har taraf phaiyle to asl nur suraj ka hai aaeine ka nahi hai, aaeine ke zariae wa waaste har taraf phaiyl raha hai
isi tarah asl welaayat wa hokumat khoda ki hai lekin Allaah ke aelaawah bhi ousi ki jaanib wa waaste se insaane kaamil ko haasil hai
khoda ke baad sab se zeyaadah Rasule khoda aur Ahlebait (عليهم السلام) ka maqaam wa daraja ... baland hai, kaa'aenaat me aap hazaraat ki tarah koei bhi nahi, aap insaane kaamil hain lehaaza aap ko aiysi takwini welaayat wa hokumat ka haq haasil hai ke kaa'aenaat ka zarra zarra aap ke hukm wa aeqtedaar ke saamne sar nagun aur taabe'ae farmaan rahe
lekin aap hazarat ki hokumat wa welaayat pahli qism se nahin hai balke dusri qism se hai
in ki takwini hokumat ka matlab hargiz ye nahi hai ke khoda ne sab kuchh in ke aekhteyaar wa qabzao qudrat me de diya wa ma'aaz allaah (معاذالله) khud khoda kuchh bhi nahi hai balke matlab ye hai ke Allaah ki numaa'eindagi (نمائندگی) ke taur par kaa'aenaat ka nezaam in ke hawaale hai in ke zariae se har wo kaam anjaam paate hain jo kaa'aenaat ki salaah wa maslehat me hain
misaal ke taur par asli wa haqiqi khaaliq wa raaziq ... khoda hai lekin Allaah ke eizn wa aejaazat se aap hazaraat bhi khaaliq wa raaziq hain aur murdon ko zinda karte hain, bimaaron ko shefa ata karte hain ...
Janaabe Eisa (سلام الله عليه) ne bhi aiysa kiya hai
Aale imraan aayat 49 me hai :
" ... me tumhaare liae mitti se parinde ki shakl ka mojassama khalq karta hun (banaata hun) aur ous me phunk (پهونک) maarta hun to wo khoda ke eizn se parinda ban jaata hai aur Allaah ki aejaazat se andhe wa bars ke mariz ko tandurust aur murde ko zinda karta hun ... "
jab Janaabe Eisa (سلام الله عليه) aiysa kar sakte hain to badarja'ae aula (بدرجہ اولی) 14 Maasumin (صلوات الله عليهم) bhi kar sakte hain
khalifa ke darbaar me farsh ya kapde par bani sher ki taswir ko jab Imaam (عليه السلام) ne hukm diya ke sher ban ja aur saahir ko nigal ja to wo sher ban jaati hai aur ye sher saahir ko khaa jaata hai
(makaasib mas'ala 4 " taswire soware zawaatul arwaah " oustaade aazam shaikh murtuza ansaari رضوان الله تعالى عليه)
qaabile Tawajjoh baat ye hai ke maaddaah (material) nahi tha balke sirf rang wa taswir thi ous ko hukm diya to sher ban gaei
ye keya hai ? khoda ke eizn se aek tarah ki khilqat hi to hai
khoda ke khaaliq hone aur in ke khaaliq hone me farq ye hai ke khoda adam (عدم) se wojud me laata hai aur ye aek shai (شی) se dusri shai khalq karte hain
Doa'ae adila me hai :
"... بِيُمنِه رُزِقَ الوَرَى وَ بِوُجُودِهِ ثَبَتَتِ الاَرضُ وَالسَّمَاء ..."
... Imaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki barkat se logon ko rizq milta hai aur aap ke wojud se zamino aasmaan qaa'aem wa saabit aur baaqi hai ...
in baaton ko agar'che aqli aetebaar se qabul karna mushkil hai is liae ke Maasumin (سلام الله عليهم) ki shaan wa manzelat wa maqaam aur haqiqat ... ko samajh ne se aam insaan aajiz wa laachaar hai, wajah insaan ka mahdud ilm wa naaqis aql hai
intehaa'ei ta'ajjub ki baat ye hai ke kaha jaata hai folaan saaheb is taraana ke khaaliq (خالق) hain ya is sher wa tahrir ke khaaliq hain
ya lafze pakistan ki takhliq kisne ki ? ya lafze pakistan ka khaaliq kaun hai ?
yahaan par lafze takhliq wa khaaliq eistemaal kiya jaata hai to koei aeteraaz nahi lekin Maasumin (صلوات الله عليهم) ke liae ye lafz eistemaal kiya jaata hai to kufro shirk ke fatwon ka baazaar garm ho jaata hai !!!
Note :
mazid maalumaat ke liae zeyaarate jaame'aa kabira padh len ye zeyaarat manshure imaamat hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna -shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
25 / ربيع الاول / 1441ھ.ق