Sawaal az : +919260.......
Salam
Agha kisi restaurant me jahan na pata ho ke non muslim hai ya nahi wahan ka vegetarian khana aur shakes peena kaisa hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jawaab ke do hisse hain :
- khaane ke saamaan se mota'alliq jawaab
- Najaasat wa tahaarat se marbut jawaab
- khaane ki ashiya (foodstuffs) se mota'alliq jawaab :
- Tahaarat wa najaasat se mota'alliq jawaab :
- agar ahle ketaab ka restaurant hai ya kaam karne waale ya pakaane waale ahle ketaab hain to oun ke haath ka khaana paak hai khaa sakte hain
is liae ke maujuda taqriban aksar maraaje jaiyse Rahbare Inqelaab wa Aayatullah Sistaani ke nazdik ahle ketaab paak hain lekin behtar (aehteyaate mustahab) hai oun se parhez karen - kaafir, boot parast wa mushrik ka restaurant hone ki surat me bhi khaa sakte hain is liae ke jab tak yaqin na ho ke oun ke haath ki rotubat (tari) khaane ... me lagi hai, paak hai
agar non muslim, kaafir, mushrik, boot parast ( hindu ) aur ahle ketaab yaani masihi, yahudi ... hain to gosht ya gosht se bani huei chiz nahi khaa sakte hain
is liae ke shar'ei tariqe se zibh karna saabit nahi hai agar ye log kahen bhi ke shar'ei tariqe se zibh kiya gaya hai to oun ki baat motabar nahi hai ous par yaqin nahi kiya jaa'ae ga
agar gosht ke aelaawah koei chiz hai masalan sabzi waghaiyrah se banaaei gaei hai to khaa sakte hain
momkin hai jadid wasaa'ael ke zariae ya dastaana pahen kar pakaayaa ho, haath ki tari na lagi ho
Note :
- restaurant me kaam karne waale musalmaan hain ya nahi, ya khaane par mushrik ... ke haath ki tari lagi hai ya nahi, in sab ke baare me puchhna wa tahqiq karna zaruri nahi hai
- shakes pine ka bhi wahi hukm hai jo oupar bayaan kiya
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran
20 / جمادی الاولی / 1440 ھ.ق