Shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaa'ae ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, November 30, 2019

Shaadi ke baad naei dulhan aek hafte tak keya chiz na khaa'ae ?

Sawaal az : +91 70458....


Assalaam Alaikum
Ya ALI a.s madad

Ek swaal Bhai


New Dulhan ko nikaah ke baad se kin kin cheezon se aur kitne din tak khaane se parhez karna hai jisse koi problem na ho usko


Khaane matlab Yeh bola jata hai ke Shaadi ke baad ladki ko kuch dino tak kuch cheezein nahi khaana chahiye Jisse uske Kook thandi ho jaati hai


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Aek tawil rewaayat ka wo hissa peshe khidmat hai jis me aap ke sawaal ka jawaab hai :


...وَامنَعِ العَرُوسَ فِی اُسبُوعِهَا مِنَ الاَلبَانِ وَالخَلِّ وَ الکَزبُرَةِ وَ التُّفَّاحَةِ الحَامِضَةِ مِن هَذِهِ الاَربَعَةِالاَشیَاءِ فَقَالَ علی (عليه السلام) یَارَسُولَ الله (صلى الله عليه و آله) وَ لِاَیِّ شَیءٍ اَمنَعُهَا هَذِهِ الاَشیَاءَ الاَربَعَةَ قَالَ لِاَنَّ الرَّحِمَ تَعقَمُ وَ تَبرَدُ مِن هَذِهِ الاَربَعَةِ الاَشیَاءِ مِنَ الوَلَد...


Hadis ka mafhum :


Rasule Khoda ne Hazrat Ali (صلوات الله عليهم) se farmaaya :


" ... dulhan ko mana kijiae ke ham bistari ke baad pahle hafte me yaani 7 dinon tak in 4 chizon : har qism ka dudh, sirka, hara dhanya aur khatte seb me se koei aek chiz bhi istemaal na kare :


Hazrat Ali (عليه السلام) ne farmaya ay Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) keyon in 4 chizon se mana karun ?


Aap ne farmaaya :


Is liae ke in 4 chizon me se koei aek chiz ke pine ya khaane se rahim (bach'cha daan) aqim wa thanda (sard) ho jaata hai, natije ke taur par aurat be aulaad wa baanjh (بانجھ) ho jaati hai


(mustad'rakul wasaael - jild 14 - p 298 - baab istehbaabo man'eil arus fi ousbu ... / aelalush'sharaae - baab 289 "aelal nawaaderun'nekaah")


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

Khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube


Recommendation


  1. Sohaag raat ki ahamiyat | Aadaab | Namaaz | Doa

  2. Na'ae shaadi shodah jode ko kin alfaaz me doa deni cha'hiae ?

  3. Farzand hone ke liae doa
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen