namaz padhte padhte bhool jata hoon. Kon si rakat.....? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 28, 2019

namaz padhte padhte bhool jata hoon. Kon si rakat.....?

Sawaal az:-.........

Salaam Walecum,  mera sawal hai Mai namaz padhte padhte bhool jata hoo. Kon si rakat padh raha hoon. Keya namaz sahi hai?


Regards,
HAIDER Ali | Haider......@gmail.com


jawaab :

                         باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

agar hamesha bhul jaate hain to apni bhul par dheyaan na den ( tawajjoh na karen ) our bena zeyaadah rak'at par rakhen magar ye ke zeyaadah meqdaar par bena rakhna namaaz ko baatil kar de is surat me kam meqdaar par bena rakhen

masalan bhul gae ke tisri rak'at padhi ya chuthi to bena 4 ( zeyaadah meqdaar ) par rakhen our namaaz mokammal kar len sahih hai

lekin bhul gae ke chuthi rak'at hai ya paanchwi to bena 4 ( kam meqdaar ) par rakhen our namaaz mokammal karen sahih hai


is liae ke agar zeyaadah meqdaar ( 5 ) par bena rakhen to namaaz baatil ho jaae gi

(mazid tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

2 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق


.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen