namaaze watr me doa karne ki ahamiyat | 40 momin ke liae doa karne ka tariqa | masaa'ael - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, November 28, 2019

namaaze watr me doa karne ki ahamiyat | 40 momin ke liae doa karne ka tariqa | masaa'ael

Sawaal az : +923........- Karachi


As salamun alaikum,

Kya namaaz-e-shab me 11th rakat me (namaz-e-witr) jo dua-e-Qunud padhi jaati hai or chaalis mominoon ke names ley k dua kartay hain phir namaz complete kartay hain to aisay names ley kar namaz ho jaye gi ?

Wazahat farmaain.


Yeh aik sawal kia hai iska jawab agar ap group per day dain to rehnumai ho jay gee.


Jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام ورحمةالله و بركاته

is me koei shak nahi hai ke namaaze shab me doa karna khud khoda ki wasi rahmat ki neshaani wa alaamat hai aur ye nemat hai wa monaasib waqt bhi hai ke momin khud aur dusron ko khoda ke faiez ( فیض ) wa karam se faaedah pahunchaaen


dusron ke liae doa karne ke baad apne liae doa kare to jaldi qabul hoti hai


namaaz-e-watr ke qonut me 40 momenin ke liae mard hon ya aurat, zindah hon ya murdah doa karna mustahab hai


behtar hai ke apne waaledain, bhai, bahen, chacha, phuphi, maamu, khaala ( pahle daraje ke rishtedaar ) wa dusre qaribi rishtedaar aur dost-o-ahbaab ke liae pahle doa karen


40 momenin ke liae 4 tariqon se doa kar sakte hain :


(1) sabka naam lekar yaani naam banaam doa karen. naam yaad kar ke ya kaaghaz wa ... par likh kar

( sab se behtar yahi tariqa hai)


(2) jo 40 naam zehen me hain ya kaaghaz ya ... par likhe hain oun ke liae beghair naam liae doa karen masalan kahen :


اَللّهُمَ اغفِر لِجَمِيعِ هاؤُلَاء


(allahummaghfir lejami'ae haa oulaae )

(3) 40 me jetne naam yaad hain oun ke naam le kar doa karen aur baaqi ke liae beghair naam liae masalan kahen :


اَللّهُمَ اغفِر لِباقِى


( allahummaghfir lebaaqi)

(4) 3 tariqon ke motaabiq doa nahi kar sakte hain, waqt nahi hai ya naam yaad nahi hain ya ... to bataure aam wa jumla momenin wa momenaat ke liae is tarah doa karen :


اَللّهُمَ اغفِر لِلمُومِنِين وَالمُومِنَات وَالمُسلِمِين وَالمُسلِمَات اَلَاَحيَا مِنهُم وَالاَموَات


( allahummaghfir lilmomenin wal momenaat wal muslemin wal muslemaat al ahya minhum wal amwaat)

Note :


(1) har aek ke liae alag alag doa karen to is tarah :


اَللّهُمَ اغفِر لِفُلَان


(allahumaghfir le folaan)

folaan ki jagah ous ka naam len jis ke liae doa kar rahen hain


(2) 40 momenin ke liae doa karna zaruri nahi hai balke mustahab hai, lehaaza agar doa na karen to namaaz-e- watr sahih hai, albatta doa karne me sawaab zeyaada hai


(3) momenin se moraad wo log hain jo Amirul momenin Ali ( علیه السلام ) ki welaayat wa imaamat par eimaan wa aeteqaad rakhte hain, agar'che ghunaah-gaar hi keyon na hon


(4) namaaz-e-shaf ( شفع ) aur watr aek namaaz ki tarah hain lehaaza namaaz-e-shaf me qonut aehteyaatan na padhen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khadime edara-e- darul etrat Azim Aabaad / Patna shoba-e- sawaalaat Qum / Iran


20 / رمضان المبارک / 1439 ھا


Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen