Sawaal az : +96655.....
Salamun alaikum Wrb
Sawaal ye hai
Aksar jagahon par ye kehte suna hai ke Maah-e-moharram ki 1st taarikh se lekar 8 rabiul awwal tak
Ham kisi bhi marhumin ke liye na fateha padh sakte hain na unke naam se nazr kar sakte hain keya Ye sahi hai
Jabke Har majlis me sab se pehle marhumin ke liye fateha padha jata hai
Dusra sawal ye hai ke
Fateha kisi bhi waqt diya ja sakta hai Ya maghrib se pehle hi de diya jaye
Shukriya
Jawaab :
باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاتہ
- mai'yit ke liae faateha padh sakte hain, nazr kar sakte hain aur majlis-e-tarhim bhi kar sakte hain, haraj nahi hai
- is ke liae koei makhsus waqt nahi hai, kabhi bhi faateha diya jaa sakta hai, har nek kaam ka sawaab jis waqt chaahen mai'yit ko pahuncha sakte hain
albatta shab-e-jum'aa eisaal karne me sawaab zeyaadah hai, jis tarah shab-e-jum'aa gunaah ki qabaahat zeyaadah hai ousi tarah aamaal ke baja laane aur eisaal me sawaab zeyaadah hai
agar aamaal ka sawaab murdon tak pahunchaaen to wo ous se khush hote hain
Rewaayat me hai :
jo bhi sadqa (har kaar-e-khair) murde ke liae diya jaata hai ous ko farishte le lete hain aur aek nuraani tabaq (thaal / تھال) me rakhte hain aur qabr ke kenaare khade ho kar baland awaaz se kahte hain "ay ahl-e-qabr tum par dorud ho is hadiye ko lelo, is ko tumhaare rishte'daaron ... ne tumhaare liae bheja hai"
jo shakhs bhi murde ko bhejta hai ous ka naam le kar bataate hain ke ye folaan ne bheja hai ...
Note :
behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
29 / صفر / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment