musht zani keya hai ? | is ke 3 maraahil aur jismaani wa nafseyaati noqsaanaat (part - 1) - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, November 5, 2019

musht zani keya hai ? | is ke 3 maraahil aur jismaani wa nafseyaati noqsaanaat (part - 1)

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Shahzad Mehdi sb


As Salam O Aalaikum
Aagha Ek Sawal Jo thora alag sa hai mai kuchh nai generation ke bach'cho se baat kar raha tha maine usne Masturbation (Maslan wo kaam apne aap se kiya jaye jis money kharij ho) na karne ki salah di... to unho ne kuchh baat mujhe scientifically batayi jisme unka kahna ye tha ki Science is chiz ko karne ke liye kahta hai...


Maine bataya ki marajaye Karam ne in sb chizo ko haram bataya hai unho ne kaha kyu ?


Pahle toh app iska jawab den...


Dusri baat


Kya kisi Imaam a.s ne is'se motal'liq koi baat kahi hai jis se mai unko ye bata saku... agar aisi koi baat hai toh mujhe please aap hawala de den....


Agar ho sake to jawab zarur den
Aur aap apne taraf se bhi kuchh baate batayen


Was Saallm
Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالی
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jis fele bad ki taraf aap ne aeshaara kiya hai ous ko urdu me "Musht Zani wa khud laz'zati" ... kahte hain
aur fiqh ki istelaah me "Istimna = استمنا" kahte hain


Istimna ka matlab :


insaan (ladka ya ladki aur mard ya aurat) khud se ya dusra aiysa koei kaam kare ke ous se mani khaarij ho jaa'ae
is ke mokhtalif tariqe wa suraten ho sakti hain misaal ke taur par baaz ye hain :


haath se khelna, lazzat ke qasd se naa mahram ki aawaaz sunna, aek dusre se aasheqaana (عاشقانہ) kalaam wa baaten karna, khud lazzati ki taraf le jaane waale kheyaalaat wa fikr, hayjaan angez (ہیجان انگیز) tasaawir ya video ... dekhna ...


ye wo suraten hain jis se shahwat bhadakti hai aur insaan Musht Zani par aamaada ho jaata hai ya mani nikal jaati hai
agar koei aekhteyaar wa qasdo aeraade se in aamaal ko mani nikaalne ke aeraade se anjaam de aur mani nikal jaa'ae to ye "Istimna" hai


baaz doctor ... kahte hain eilmi wa saa'aensi (سائنسی) taur par Musht Zani me koei noqsaan nahi hai lehaaza baaz haalaat me is kaam ka mashwera dete hain


jo doctor ya maahire nafseyaat ... is tarah ki baat kare ya mashwera de yaqinan wo doctor ... nahi hai ya jhola chhaap (جھولا چھاپ) doctor hai ya ous ki niyat me fotur wa kharaabi hai amadan is ki tarwij kar raha hai


haqir doctor nahi hai lekin aetna maalum hai ke ye bura kaam tibbi aetebaar se noqsaan deh hai


is ke mota'alliq muslim wa ghair muslim baaz doctor wa maahire nafseyaat ... ki jo ketaaben aur mazaamin ham ne padhe hain ous ka khulaasa molaaheza farmaa'aen :


jo log Musht Zani me mubtala hain oun ko 3 marhalon (stage) me taqsim karte hain aur har marhale me khaas bimaari wa mushkil ka zikr kiya hai :


  1. Mushkil saaz (problematic) :

  2. is marhale me koei fard kuchh mud'dat ke liae Musht Zani karta hai jis ka natija bahot jaldi baaz bimaariyon wa mushkelaat ki shekaayat hai


    jaiyse khastagi wa thakaawat (fatigues), hawaas wa tawajjoh markuz na hona = hawaas ki kami = (lack of concentration), haafeze ki kamzori (poor memory), izteraab wa bechaini (stress / anxiety) ...


  3. is marhale me ba'nisbat pahle marhale ke Musht Zani zeyaadah ho jaati hai pahle marhale me jo noqsaanaat hain oun ke aelaawah mazid bimaari wa mushkelaat ki shekaayat ho jaati hai

  4. masalan zehni tanaao wa mood badal jaana (mood swings), chid chidapan = چڑ چڑا پن = (lrritability), kamar ke nichle hisse me dard (lower back pain), baalon ka naazuk wa patla hona (thinning hair), jald hi yaani jawaani me hi naa mardi (youth impotence), nind na aana wa nind ka mas'ala (lnsomnia / sleeping problem)


  5. is marhale me Musht Zani shiddat ke saath zor pakad leti hai nashe ki tarah aadi ho jaata hai jaiyse aek sharaabi khomaar ki zeyaadti se mad'hosh ho jaata hai taqriban waiysi hi haalat ho jaati hai (addictive)

  6. pahle wa dusre marhale me jin mushkelaat wa bimaariyon ki shekaayat hoti hai oun ke aelaawah dusri bahot saari shekaayaton wa bimaariyon me aezaafa ho jaata hai


    jaiyse shadid baalon ka girna (sever hair loss), dhundhli nazar = دھندلی نظر = (blurred vision), kaanon me gunj (buzzing in theears), qabl az waqt wa be aekhteyaar inzaal (prematurely ejaculation) ouzwe khaas ka kamzof wa shal hona aur ous me sozish, kamar ka dard


Musht Zani me is ke aelaawah bhi jismaani aur nafseyaati wa ruhaani noqsaanaat hain ahle tib wa maahire nafseyaat oun ko bayaan karte hain jaiyse dharkan (دھڑکن), kamzori, lagaataar wa mosalsal bimaar hona, saans phulna, aasaab ka dhila pad jaana, sar dard, bhuk me kami, rafta rafta khubsurati khatm hona, susti, gosha nashini (isi liae is ko khufya aadat bhi kahte hain) aur zamir ki malaamat ...


eilmi wa saa'aensi... taur par Musht Zani aur khud lazzati se jismaani sehat par runuma hone waale ye wo baaz noqsaanaat hain jo saabit ho chuke hain


baaz noqsaanaat ka inkeshaaf shaayad baad me ho


khulaasa'ae kalaam :


Musht Zani dar haqiqat khud zani hai jismo ruh ko naabud kar deti hai ye khud se dushmani hai jawaano ki qaatil hai


jo doctor ... baaz haalaat me Musht Zani ka mashwera wa salaah dete hain ye bilkul aiysa hi hai jaise bhuke insaan ko chori karne ya dard wa stress se bachne ke liae sharaab pine ka mashwera diya jaa'ae


lehaaza jo doctor ... is ghair insaani raftaar ka salaah mashwera dete hain oun ki jehaalat ya aql ki kharaabi me shak na karen


Note :



Info : dusre hisse me bataaya gaya hai ke shar'ei aetebaar se is ke haraam hone par dalil keya hai ?
aur is se bachne ke liae mashwere aur amali aeqdemaat keya ho sakte hain ?


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna -shoba-e-sawaalaat Qum / iran


6 / ربيع الاول / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

4 comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen