Sallamun alaikum
Ek sawal hai. kya virasat me mile paise par khums wajib hai?
Meri aunty ko unke virse ke property ke badle cash mila hai .aur unko usko apne bete ki shaadi me Kharch karna hai .Toh kya unko us paise per khums dena hoga.
(Aunty ka koi aur source of income nahi hai. Aur wo apni behen ke sath rahti hai.) pls reply as soon as possible.
Aur mera naam aur number na display kare.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
miraas ke ta'alluq se jo motabar qaanun wa qawaaed bataae gae hain agar oun ke motaabiq miraas mili hai to khums waajib nahi hai is liae ke miraas me khums nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
No comments:
Comment