Salamo alaikum
Agha ek sawaal hai.
Agar koi shakhs.kisi ko paise dilwaae aur usme paisa lene wale se commission le to kya ye jaez hai
Maslan 10 aurto ko apne ghar me bitha kar kisi se bank ya jo bhi zariya ho unko paise dilwaae aur kahe ke. maslan tumko 10 hazar dilwa denge 2 hazar mera commission hoga aur isi tarha se wo maal daar ho jaae aur majlis-o-matam me ye paisa kharch kare to kya uske yaha khana pina ya majlis ka tabarruq waghairah lena jaez hai ya nahin.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji jaa'aez hai
is liae ke ye aek tarah ki dallaali ( دلالی ) hai , oun ki madad karne me waqt our mehnat ... darkaar hai , dar haqiqat ye moaawaza wa kaam ki oujrat hai lehaaza is ke zariae haasil hone waali raqam halaal wa jaa'aez hai , commission lene me koei haraj nahi hai
zaahir hai ous ke yahaan khaana , pina ya majlis ka tabarruk waghaiyrah lena jaa'aez hai
Note :
agar kuch kiae be ghair ya jhut bol kar our dhoka wa ghalat bayaani ke zariae se lega to jaa'aez nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
4 / ربيع الاول / 1441ھ.ق