Salamun Alaikum Huzoor,
Kya iran aur iraq me jahaan pe Shariyat ki khushgawar fiza bahti hai ulema aur khateeb eisi trah nazrana ki demand karte hain jaise hamaare mulk me hota hai.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
jis tarah awaam me do tarah ke log paae jaate hain aek wo jo " qurbatan aelallaah = قربة الى الله " nazraana dete hain our ahl ko bolaate hain our dusre naam o nomud wa dunya ke liae " qurbatan aelad'dunya = قربة الى الدنيا " bolaate hain wa nazraana dete hain
isi tarah har jagah olama , khotaba our shoara ... bhi do tarah ke hain , aek wo jo mahaafil o majaalis our qasida wa nauha ... aekhlaas ke saath " qurbatan aelallaah = قربة الى الله " our sirf oukhrawi sawaab ke liae padhte hain our dusre paiyson ke liae qurbatan aelad'dunya = قربة الى الدنيا " padhte hain
keya daur-e-rasul ... ( صلى الله عليه وآله ) makke wa madine me aiyse afraad nahi the ?
Note :
mazid maalumaat ke liae niche "CLiCK HERE" pe click kar ke video dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
3 / ربيع الاول / 1441ھ.ق