kya imam aur masoomeen ne mustahabaat (mustahab) chizo ko tark (ترک) kiya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, November 15, 2019

kya imam aur masoomeen ne mustahabaat (mustahab) chizo ko tark (ترک) kiya hai ?

sawaal az : +919005.....

Salam alaikum aagha
Mera sawal ye hai ki kya imam aur masoomeen ne mustahabaat (mustahab) chizo ko tark (ترک) kiya hai ?


jawaab :

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki zindagi oummat-e-muslema ke har fard our afraad-e-jaame'aa ke liae mashal-e-raah wa ideal hai

is liae ke aap hazaraat imaam our rahbar hain kaa'aenaat me in se behtah koei nahi hai jis ko apne liae ideal wa qaabil-e-taqlid misaal banaaya jaae

lehaaza anjaam-e-waajebaat wa tark-e-moharremaat ke aelaawah anjaam-e-mustahabbaat our tark-e-makruhaat par bhi aap hazaraat ki khosusi taur par tavajjoh rahti thi

hazaraat-e-maasumin ( سلام الله عليهم ) ki ismat ka sab se chota daraja ye hai ke waajebaat tark nahi karte the our haraam ka irtekaab nahi karte the

is se baalaatar ismat ye hai ke mustahabbaat tark nahi karte the our makruh anjaam nahi dete the

in tamaam baaton ke baawojud aham ( nehaayat zaruri ) our mohim par bhi tavajjoh rahti thi , agar mustahab ka anjaam dena waajib ke tark ka sabab banta tha to mustahab tark kar dete the


misaal :

(1) awval-e-waqt namaaz padhna mustahab hai lekin agar ousi waqt koei dub raha hai to aham dubne waale ko nejaat dena hai lehaaza yahaan ya is tarah ki jagah mustahab ko tark kar dete the

khud amirul momenin ali ( عليه السلام ) ne farmaaya hai :

" اِذَا اَضَرَّتِ النَّوَافِلُ بِالفَرَائِضِ فَارفُضُوهَا "

( nahjul balaagha hikmat 279 )

" jab naafele wa mustahabbaat waajebaat ko noqsaan pahunchaaen to mustahabbaat wa naafele ko tark kar do


(2) pahli misaal mustahab our waajib ki thi ; dusri misaal mustauab our mustahab ki hai , mustahabbat ke bhi darajaat hain saare mustahbbaat yaksaan nahi hain

mustahab hai roza'daar namaaz-e-maghrib wa aesha ko iftaar karne ke pahle padhe lekin agar koei ous ka muntazir hai to behtar ( mustahab ) hai pahle iftaar kare

ye hukm bhi maasumin ( صلوات الله عليهم ) ne hi diya hai lehaaza ye nahi hosakta ke khud kisi chiz par amal na karen our ous ka hukm dusron ko den


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna-shoba-e-sawaalaat Qum / iran

17 / ربيع الاول / 1441ھ.ق

روز ولادت باسعادت رسول اکرم اور ایک روایت کے مطابق  آپ کے فرزند امام صادق سلام الله علیهم 


 

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen