Salam alaikum.
Agha ek sawaal hai kuchh log 10 rabi-ul-awwal ko apne ghar me mehfil karte hain jisme ahlebait ke dushmano par lanat karte hai achhi baat hai par isme gaaliyan bakna kya theek hai? wo bhi gandi gandi jab ke ghar me aurten maujood hon aur ahl-e-mohalla ko jama kar ke ye kaam kya sahi hai.
aur daawat kuchh is tarha se di jaati hai.
"tamam halaalzadon se shirkat ki guzaarish hai."
main Ayatollah sistani ka muqallid hun kya mai aisi mehfil me jaa sakta hoon.?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
jis mahfil me jaane ke baare me aap ne pucha hai ous ke mota'alliq aayatullaah sistaani ki fiqhi ketaabon our tqriban tamaam istiftaa ( استفتا ) ke jawaab dekhe ous me mujhe kuch nahi mila
our aap ke daftar ( Qum ) se bhi jawaab nahi mila bas aetna kaha ke aaqa ki is baare me koei nazar nahi hai
Note :
(1) aap in ki site ke zariae sawaal kar sakte hain
(2) hatta dushmanaan-e-islaam ko bhi gaaliyaan ( fohash ) dena jaa'aez nahi hai*
kamzor log gaaliyaan dete haih jin ke paas jawaab nahi hota
alhamdo lillaah shia mazhab ke paas har chiz ka jawaab maujud hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
12 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
No comments:
Comment