Salamun alaikum Wrb
Karbala me Maula Abbas as ke kitne bete shaheed huwe aur kab? unke naam Keya hain aur unhone kitne shaamiyo'n ko wasil jahannam kiya
Shukriya
Mola Aapko salamat rakhe
aur aapke kul kitne farzand the naam
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
aap ki aulaad our oun ke naam ke baare me mowarrekhin ke darmeyaan aekhtelaaf paya jaata hai , haqir ki maalumaat ke motaabiq is ke mota'alliq 4 aqwaal hain :
1. 2 farzand the ; abdullaah our fazl
2. 2 farzand the lekin oun ke naam abdullaah aur hasan the
3. 5 farzand the , obaidullah ( عبيد الله ) , fazl , hasan , qaasim our aek ladki
4. 6 farzand the 5 ye our chate mohammad
karbala me shahid hone waale farzand :
is ta'alluq se bhi aekhtelaaf hai , mere aadaado shumaar ( اعداد و شمار ) ke motaabiq 3 aqwaal paae jaate hain :
1. 3 farzand ba naam-e-mohammad , qaasim our abdullaah shahid huae
2. 2 farzand shahid huae mohammad our qaasim
3. baaz mowarrekhin ne likha hai ke sirf aek farzand ba naam-e-mohammad shahid huae
taarikh me likha hai ke janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) apne farzand mohammad ko bhot chaahte the ... is ke baa'wojud jab imaam husain ( عليه السلام ) ki ghurbat dekhi our aap ko be yaar o madad'gaar paaya to khud apne haaton se lebaas-e-jang pehnaaya our kamar par talwaar baandhi our imaam ( عليه السلام ) ki khidmat me aejaazat ke liae aae ... mohammad ne imaam ( عليه السلام ) ke haathon ka taaziman bosa liya phir khaime me aae our saidaaniyon se rokhsat ho kar maqtal me gae ... our shahid ho gae ...
our baaz mowarrekhin ne likha hai ke :
jab janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ghode se zamin par gire ... our imaam husain ( عليه السلام ) wahaan pahunche to aap ki haalat dekh kar allaah se iste'aanat wa isteghaasa kiya our farmaaya haae qillat-e-naaserin
jab mohammad wa qaasim ne apne cha'chaa ki aawaaz-e-isteghaasa suni to maqtal me aap ke paas gae our kaha :*
*" لبيك يا مولانا ... "*
aiy hamaare maula wa aaqa aap ki khidmat me haazir hun
imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya tumhaare baap ki shahaadat kaafi hai ... bahar kaif aejaazat ke baad dushmano se sakht jang ke baad pahle mohammad shahid huae our aap ke baad qaasim bhi shahid ho gae
janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke farzandon ne ketne yazidiyon ko waasil-e-jahannam kiya is ta'alluq se mujhe nahi mila
bahar haal ali ke pote our abbaas ( صلوات الله عليهم ) ke bete hone ke peshe nazar bhot saare yazidiyon ko maut ke ghaat outaara hoga
Note :
1. janaab-e-abbaas ki shaadi janaab-e-lobaaba ( لُبَابَه ) se huei thi , aap obaidullaah bin abbaas ( rasul-e-khoda صلى الله عليه و آله ke chachaa zaad bhaaei ) ki beti thin our azim khaatun bhi thin ...
2. janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke farzand " hasan " ke ta'alluq se baaz ne likha hai ke janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ki shahaadat ke baad janaab-e-lobaaba ki shaadi imaam hasan ( عليه السلام ) ke farzand janaab-e-zaid se huei oun se aek ladki ba naam-e- " nafisa " our aek ladka ba naam-e- " hasan " huaa
*is aetebaar se " hasan " janaab-e-zaid ke farzand hain , janaab-e-abbaas ke nahi lehaaza baap ki taraf se " hasan " janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke pote huae
agar is ko maan liya jaae to isi wajah se mowarrekhin ne ghalti se janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ka farzand likh diya hai , taarikh me is tarah ki misaalen bhot milti hain
3. janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ko " abul fazl " kahne ki aek wajah ye hai ke aap fazl ke baap hain
4. taqriban tamaam mowarrekhin our eilm-e-ansaab wa rejaal ke maaherin ka is baat par eit'tefaaq hai ke janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ki nasl janaab-e-obaidullaah se chali
jab imaam ( عليه السلام ) ka qaafela madine se karbala ki jaanib chala to ous waqt aap bhot chote the baad me bhot zabardast aalim wa aabid ... bane
5. mazid tafsilaat ke liae " syed abdur'razzaaq moqarram " ki ketaab " al-abbaas ( عليه السلام ) " padh len urdu me bhi shaayad is ka tarjuma ho chuka hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
2 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق