As-salaam-o-alaikum
Jaushan-e-sagheer me ek jagah sajdaa ki hai aur ek jagah dushman ke Naam ki Wahi ham puchna chah rahe hain ke jaushan-e-sagheer me jahaa dushman ka Naam lenaa hai to hamko to nahi pata ke kaun hamaara dost hai or kaun dushman to ham kahtey hain jo bhi hamaare bachon aur shauhar ka bura chaahey bura ham log ke saath karey usko Allah aap samjhaai Q ke aap ka faisla zayaada sahi hai
Ye sahi hai kahna ya galat?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar aap ki moraad doa-e-jaushan saghir ke aakhir ka ye jumla ( fasl ) moraad hai :
" ... اللهم انى ادرء بك فى نحر فلان بن فلان ... "
" ... allaahumma inni adra'o beka fi nahrin folaan bin folaan ... "
to folaan bin folaan ki jagah apne dushman our ous ke baap ka naam len
agar dushman moaiy'yan wa moshakh'khas ( معین و مشخص ) nahi hai to folaan bin folaan ki jagah ye kahen :
" مَن كَانَ عَدُوَّنَا "
" man kaana aduwvana "
jo bhi hamaara dushman hai
Note :
ye azimush'shaan doa imaam musa kaazim ( عليه السلام ) se naql huei hai
dushman ko dur karne our balaaon se mahfuz rahne ke liae bhot hi mowassir hai
abbaasi khalifa musa haadi ( لعنةالله عليه ) ne aeraada kiya ke khaandaan-e-rasul-e-akram ke buzurgon makhsusan imaam musa kaazim ( سلام الله عليهم ) ko shahid kare to imaam kaazim (عليه السلام ) ne is doa ko padha
is ke baad aap ke jad rasul-e-geraami ( صلى الله عليه و آله ) ne khaab me aakar aap ko khalifa musa haadi ( لعنةالله عليه ) ke halaak hone ki khush khabari di
( waaqeaa tafsili hai )
maanavi aetebaar se israēil jaiyse dushman ko shikast dene me is doa ka aham role raha hai , hizbullah ke sepaahiyon ka eimaan mustahkam huaa our israēili sepaahiyon ke dilon me is tarah dahshat sama gaei ke rote huae maydaan chod kar bhaagne lage
rewaayat ke motaabiq is doa ko kafan par likhna mustahab hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
1 / ربيع الاول / 1441 ھ.ق