Imaame Zamaana (atfs) ke 313 as'haab me kaun log hon'ge ? | aeimmah ke paas eilme ghaib tha to baaz chizon ka eilm keyon na tha ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, November 27, 2019

Imaame Zamaana (atfs) ke 313 as'haab me kaun log hon'ge ? | aeimmah ke paas eilme ghaib tha to baaz chizon ka eilm keyon na tha ?

sawaal az : Mohtaramah janaab Ishrat Fatima sb ( Azimabad ) Patna


Que -1. Imam-e-zamana a.t.f.s ke 313 As'haab me Keya sirf Zinda afrad honge ya Jo inteqal kar chuke wo bhi shaamil rahenge..... Isme aurto'n ki tadaad kitni rahegi... Jawab motabar Kutoob ke hawaale ke sath chahiye..


Que -2. Jab Allah swt ne Ayimma a.s ko ilm-e-ladunni ka Malik bana kar bheja hai, unke pass to pehle se ghaib ka ilm hai to fir parwardigar ko batane ki keya zarurat hai.?

Ye usool-e-kafi jild 2 me mention hai jiska Mai image sath me bhej rahi hu...

Jazakallah....



Jawab ki talabgar...


Jawaab :


باسمہ تعالی

سلام علیکم

Ans -2


osul-e-kaafi jild 1 p 258 - ketaabul hujjah - baab "be shak imaam ( علیهم السلام ) jab chaahen ke jaan len to jaan lete hain" matbu'aa daarul azwa bairut me 3 hadisen hain jin ka mafhum ye hai ke tamaam imaam ( علیهم السلام ) jab bhi kisi chiz ke baare me jaanna chaahen to jaan lete hain, khoda oun ko aagaah kar deta hai


is me shak ki gunjaa'eish nahi hai ke imaamon ( صلوات الله علیهم ) ko ilm-e-ghaib aur eilm-e-ladunni tha


lekin baaz haalat me ya mohim maslehat ki wajah se kisi chiz ke baare me na jaanna imaam ( علیهم السلام ) ke liae kamaal aur fazilat ka sabab hai


har jagah eilm-e-ghaib baa'aes-e-kamaal wa fazilat nahi hai balke baaz jagah naqs hai


amirul momenin Ali ( علیه السلام ) lailatul mabit ( لیلة المبیت ) rasul-e-khoda ( صلی الله علیه و آله ) ki jagah aap ke bistar par soae, agar amirul momenin Ali ( علیه السلام ) ko maalum ( eilm-e-ghaib ) hota ke meri jaan bach jaae gi to ye kaun sa kamaal tha ? is surat me har aek bistar-e-rasul ( صلی الله علیه و آله ) par so sakta tha


lehaaza yahan kamaal aur fazilat is me thi ke aap ko ghaib ka eilm na ho, aap ke is eisaar ki bena par aap ki shaan me surah baqarah aayat 207 naazil hu'ei


albatta agar aap chaahte to jaan bachne ke ta'alluq se aagaah ho sakte the


dusre ye ke aap hazaraat nahi chaahte the ke kisi ke gunaah ke baare me aagaah hon


jin hadison ki taraf aeshaara kiya gaya hai wo aiyse maqaamaat ke liae hain



Ans -1


is sawaal ka jawaab niche di gaei video me dekh len ....


  1. imaam zamaana (ajtf) ki madad ke liae khawaatin ka zinda hona


  2. Ghaibat-e-imam me auraton ki zimmedaari.., hindusta..me shi'at.., imam ko qaa'aem q..?


  3. Imam-e-zamana ke zahur ke waqt unke kitne saathi honge?


Note :


pahle sawaal ka jawaab bahot eilmi wa tafsili bhi hai, mazid maalumaat ke liae ahl-e-eilm motaala'aa ( مطالعہ ) kar sakte hain


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔27 / ربیع الاول / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen