Salamun alaikum
Agha mera sawaal yeh hai ki jo peshnamaaz namaaz padhaane ki ujrat leta hai uske pichhe namaaz padhne ke baare me agha-e-Shistani sb ka keya kehna hai. Bataoge to bohot mehrbani hogi.
Shukriya.
Maula aap ko salaamat Rakhe.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
padh sakte hain namaaz sahih hai
Note :
imaam-e-jamaa'at namaaz padhaane ka paisa ( oujrat ) nahi lete hain balke namaaz ke moqaddemaat ka paisa lete hain
jaise aana jaana , is ke liae waqt nikaalna ya aane jaane ka keraaya ... ghar me foraada ( tanha ) padh sakte hain ya dusri masjid me jamaa'at se padh sakte hain ya safar kar sakte hain ... jab mustaqil namaaz padha rahe hain to is ke liae waqt chaahiae lehaaza waqt ka paisa lete hain
dusre ye ke masjid me sirf namaaz nahi padhaate hain balke dusre omur ko bhi anjaam dete hain ye paisa ous ka aewaz hai
agar koei imaam-e-jamaa'at asl wa khud namaaz ka paisa le ( waqt waghirah ka nahi ) to behtar hai is ounwaan se na le
bahar haal agar asl namaaz ka paisa lete hain to oun ki adaalat saaqit nahi ho gi , namaaz padh sakte hain sahih hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
7 / ربيع الاول / 1441 ھ.ق