Durr-e-najaf pathhar kaise wajud me aata hai?
kya iska koi pahaar hai?
Isko Durr-e-najaf hi q kahte hain?
Maine ek jagah padha ki iski takhleeq baarish ke qatro se hoti hai. maula Ali as ke roze ke Paas qabristaan hai jiska naam waadiyus'salaam hai is qabristaan me paighambaron ki qabr bhi hai to jab bhi barish hoti hai to jo barish ka qatra is qabristaan me girta hai wo Durr-e-najaf ban Jaata Hai.
Kya ye sahi baat hai?
Mera name aur number show nahi kijiyega
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
nehaayat maazerat ke saath shar'ei masaael our dini zimmedaariyon ke mota'alliq jawaab diya jaata hai ( aedaara ke site par aghraaz o maqaasid me is baat ka zikr hai ) lehaaza behtar hai is tarah ka sawaal sang our zamin shanaasi ke aise maaherin se puchen jo momin hain
albatta kaha gaya hai ke :
naiysaan ( Aabe naiysaan = آب نیسان ) ki pahli baarish ka paani jab qabristaan , waadiyus salaam me barasta hai to is qabristaan ( sirf waadiyus salaam ki khaak ) ki mitti ke baaham milaap ( tarkib ) se path'thar ka dhela ( ڈهیلا ) tashkil paata hai yaani wojud me aata hai our sang taraashi ke maaherin ous se kaat kar our taraash kar dur ( moti / nag ) banaate hain
ye path'thar sirf isi sar'zamin se paiyda hota hai ( haasil hota hai ) isi liae is ko durr-e-najaf kahte hain our durr-e-najaf se mash'hur wa maaruf hai
khoda jaanne waala hai = الله عالم
Note :
Aabe naiysaan kis paani ko kahte hain ? our is ke tibbi wa maanawi faaede keya hain ? is ko jaanne ke liae "Click here" pe click Kar ke dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
No comments:
Comment