Sawaal az : beraadar-e-mohtaram (Delhi)
Mera sawaal hai ke agar koi namaaz ke haalat me hai aur kisi ne salaam kar diya to salaam ka jawaab dena waajib hai .Salaam ka jawaab salamun alekum hi kahenge ya eshare me bhi jawaab de sakte hain ... ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Jawaabe salaam, salaam ke maanind hona chaahiae masalan kisi ne "salaamun alaiykum (سلام عليكم)" kaha to jawaab me namaazi sirf "salaamun alaiykum (سلام عليكم)" hi kahe
aezaafa ke saath nahi kahna chaahiae misaal ke taur par jawaab me "salaamun alaiykum wa rahmatul'laahe wa barakaatoh (سلام عليكم و رحمةالله و بركاته)" na kahen
balke aehteyaate waajib ki bena par lafze "alaiykum ya alaiyka ya alaiyke (علیکم / عليكَ / عليكِ)" jawaabe salaam me lafze salaam par moqaddam nahi hona chaahiae
masalan salaam karne waale ne kaha "salaamun alaiykum ya as'salaamo alaiykum (سلام عليكم / السلام عليكم)" to "alaiykumus salaam (عليكم السلام)" nahi kahna chaahiae
aehteyaate mustahab ye hai ke bataure kaamil jawaab ousi tarah ho jis tarah salaam kiya gaya hai masalan agar kaha "salaamun alaiykum (سلام عليكم)" to jawaab me salaamun alaiykum (سلام علیکم) kahen
agar alif laam ke saath kaha hai yaani "as'salaamo alaiykum (السلام عليكم)" to kahen "as'salaamo alaiykum (السلام علیکم)" agar kaha "salaamun alaiyk (سلام عليك)" to kahen "salaamun alaiyk (سلام علیك)"
lekin agar salaam karne waale ne kaha "alaiykomus'salaam (عليكم السلام)" to ous ke jawaab me "alaiykomus'salaam ya as'salaamo alaiykum ya salaamun alaiykum (عليكم السلام / السلام عليكم / سلام عليكم)" kah sakte hain
salaam ka jawaab is tarah den ke salaam karne waala sun le lehaaza haath waghairah ke aeshaare se nahi de sakte hain balke muh (منہ) se ous ka jawaab den
(agar salaam karne waala sun nahi paata hai bahra hai to imkaan ki surat me aeshaara ya is ke maanind chizon se is tarah jawaab dena waajib hai ke wo samajh le)
Note :
- alaiyka (عليكَ) mozakkar (male) ke liae aur alaiyke (عليكِ) mo'annas (female) ke liae istemaal hota hai waazeh rahe ke mard yaa aurat ke liae salaam ke baad sirf "alaik (عليك)" (yaani kaaf par zabar ya zer ke beghair bhi kah sakte hain
- agar namaazi salaam ka jawaab na de agarche gunaah kiya hai lekin ous ki namaaz sahih hai
- Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
30 / صفر / 1441 ھ.ق
ایک روایت کے مطابق روز شہادت امام رضا عليه السلام