sawaal az : +923002........
AOA! roti ka roll bana kar ya bread ka sandwich bana kar danton se kaat kar khana jaiz he ya nahin ? Books yani Hadis-e-mubarka, Farman-e-Masoom (AS) ya Quran-e- karim ke Irshad ke hawale se jawab ina'yat farmaien. Ayat-u-Allah Khamnai sahab aur Seestani Sahab donon ka keya hukm hai ?
Nawazish hogi
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكمjaaez hai ( makruh nahi hai )
Note :
(1) maasumin ( عليهم السلام ) ne farmaaya :
لَا تَقطَعُوا الخُبزَ بِالسِّكِّينِ وَلَكِن اَكسِرُوهُ بِاليَد ...۔
( foruae kaafi jild 6 p 304 ketaabul at'aema baab fazlul khubz )
"roti ko chaaqu se na kaato balke ous ko haath se todo ( توڑو ) ..."
(2) Rahbar-e-inqelaab aayatullaah khaa'menaei :
chaaqu ya qainchi ( قینچی ) se roti kaatna makruh hai , behtar hai tez dhaar waale aalaat se na kaati jaae
aayatullah sistaani :
roti ko chaaqu se kaatna mazmum ( naa pasand, qaabil-e-malaamat fel ) hai
(3) rewaayaat ke motaabiq :
roti ke oupar koei chiz rakhna aur jab dastar'khaan par rakh di jaae to khaana shuru na karna balke dusri chiz ka intezaar karna ... makruh wa mazmum fel hai
aur jab roti wa ghosht aek saath rakhe jaaen to roti se khaana shuru karna chaahiae
in baaton se maalum hota hai ke roti allaah ki aisi azim wa khaas nemat hai jis ka aehteraam karna chaahiae
roti ka aehteraam dar haqiqat khaane pine ki saari ashi'ya ka aehteraam hai
(4) chaaqu se roti kaatna makruh hai ye hukm aam haalaat me hai
lekin agar zarurat pad jaae ( masalan agar chaaqu se na kaati jaae to israaf hoga ya zaae ( ضائع ) hogi ... ) to kaatne me haraj nahi hai ( mkruh nahi hai )
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔13 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
Subscribe us on youtube