السلام علیکم و رحمۃ الله و برکاتہ
Sir mera sawal ye hai ke ek banda jiski umr 25 sal hai usne baligh hone ke bad fauran namaz padhni shuru nahi ki (yani 15 sal se lekar 25 sal tak pabandi se namaz nahi padhi) kabhi 15 din padhi to 1 month tark kardi lekin ab wo banda pabandi se namaz padhta hai lekin usko yad nahi hai ke usne kitni namaze qaza ki hai to wo kya kare? (Kitne din ki namaz padhe?) Aur jo 25 sal uski age hai ye bhi ek andaze se hai warna uski age ka confirm nahi hai ke wo kitne sal ka hai taqreeban 25 sal hai thanks.
Muqallid-e-hazrat ayetollah seestani hafezahullah.
Plz don't share my name and number.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
qaza namaazon ki taadaad maalum na hone ya bhul jaane ki surat me jetni qaza namaazon par yaqin hai otni hi padh len kaafi hai
baa alfaaz-e-digar oun ko ba meqdaar-e-kamtar padh len kaafi hai
misaal :
nahi maalum ya bhul gae ke 3 ya 4 ya 5 saal ki qaza hai to 3 saal ki namaazen padh len kaafi hai is liae ke 3 saal ki qaza namaazon par yaqin hai our is se zeyaadah par shak hai
lekin behtar ( waajib nahi ) ye hai ke is qadr padhen ke yaqin ho jaae ke tamaam qaza namaazon ko padh liya hai
misaal :
agar bhul gae ke ketne saal ki namaazen qaza huei hain lekin yaqin hai ke 5 saal se zeyaadah qaza nahi huei hain to aehteyaatan 5 saal ki namaazen padh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna- shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / ربيع الاول / 1441ھ.ق
No comments:
Comment