Agar 4,rakat namaaz hai
Teesree rakat men tasbeeh-e-araba teen baar padh li hai aur chauthee rakat men surah hamd padh kar ruku aur sajda kar ke namaaz tamaam kar di to yeh namaaz huwi ya nahin huwi dobaara padhna padegi
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
namaaz sahih hai dobaarah padhna zaruri nahi hai
Note :
tisri our chauthi rak'at me sirf aek martaba surah hamd padh sakte hain ya aek marta tasbihaat-e-arba'aa , lekin behtar ye hai ke tasbihaat-e-arba'aa 3 martaba padhen
our tisri rak'at me surah hamd our chauthi me tasbihaat-e-arba'aa ya is ke bar'aks yaani chauthi me surah hamd our tisri me tasbihaat-e-arba'aa padh sakte hain albatta behtar hai ke dono rak'at me tasbihaat-e-arba'aa padhen
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
25 / ربيع الاول / 1441ھ.ق