Sawaal az : +917710909.....
Salamun alikum
Agha mujhe janna tha ki shaitaan ne mardud hone se pahele kitne saal ibadat ki thee aur kahan kahan ki thee ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته
6 hazaar saal aebaadat ki
(nahjul balaagha, khutba'ae qaase'aah 192)
lekin ye nahi maalum ke 6 hazaar saal se moraad arzi wa zamini (ارضى و زمينى) saal hai ya oukhrawi (اخروی) ?
agar zamini wa arzi moraad ho to wahi 6 hazaar saal hai
lekin agar oukhrawi saal moraad ho to oukhrawi saal ka har din 50 hazaar saal ke baraabar hai
surah ma'aarij aayat 4 me bhi aek din ki meqdaar 50 hazaar saal bataa'ei gaei hai
6 hazaar saal ko 365 din se zarb karen phir haasile zarb ko 50 hazaar saal se zarb karen to haasile jam (majmu'an) 109,500,000,000 hoga
lehaaza agar oukhrawi saal moraad ho to shaiytaan ne 109,500,000,000 saal aebaadat ki
Shaiytaan ne kahaan kahaan aebaadat ki ?
baaz tafsir, aayaat aur rewaayaat ke motaabiq Janaabe Aadam ki khilqat ke pahle khoda ne jin'naat (جنات) ko khalq kiya tha
Janaabe Aadam abul'bashar (ابوالبشر) hain aur Iblis abul'jin (ابوالجن) hai
jin'naat me se aek Haaris (Iblis) tha ye zamin par zindagi karte the, jab zamin par fasaad wa khun kharaaba ... kiya to khoda ne farishton ko bhej kar sab ko naabud karwa diya lekin Haaris yaani Iblis bach gaya. farishton ne is ko giraftaar kar liya to ous ne kaha :
me momin hun, fasaad wa khun kharaabe me mera haath nahi tha, tum ne mere tamaam a'aizza wa aaqarib ... ko qatl kar diya, me ab tanha hun lehaaza mujhe apne saath aasmaan par le chalo taake wahaan tumhaare saath khoda ki aebaadat karun
is baat ki taraf aekhtesaar ke saath "Tafsire majmaul bayaan surah baqara aayat 34 ki tafsir me aeshaara kiya gaya hai
Jawaab ka khulaasa :
khoda ki aejaazat se farishte shaiytaan ko apne saath aasmaan par le aa'ae. pahle aasmaan par aebaadat ki phir taraq'qi huei, dusre aasmaan par pahunch kar aebaadat ki isi tarah 3th 4th 5th 6th aasmaanon par aebaadat ki jab iski aebaadat owj (اوج) par pahunch gaei to mazid taraq'qi huei aur 7th aasmaan par pahunch gaya aur yahin aebaadat karta raha
tulaani aebaadat ki wajah se ous (Iblis) ko Azaazeel (عزازيل) yaani azize khoda bhi kahte the
(tafsire maj'maul bayaan tafsire aayat 34 - surah baqarah)
Note :
zamin wa aasmaan khosusan aasmaan par qeyaam ke dauraan Iblis ke waaqe'aat bahot tafsili aur dil'chasp hain. haqir ne khulaase ka khulaasa likha hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
7 / شوال / 1439 ھ.ق
No comments:
Comment