As Salam O Alaikum Wa Rahmatullahe Wa Barkatahu
sawaal
Namaaz-e-jamaat me Paish Namaz ki Teesri Rakat hai aur meri Dusri Rakat,
paish Namaz Ruku me chale gaye Aur mai Sura-e-Hamd poori nahi padh Paya,
Ab mujhe kya karna Chahiye
Uske baad ki namaz bhi kis trh mokammal karna hai ye bhi bta dijiyega
Aayatullah Sistani Sahab...
jawaab :
باسمه تعالی
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aap do kaam kar sakte hain
(1) agar pura surah padhen to imam-e-jamaa'at ke roku me sharik nahi ho sakte aetni mohlat nahi hai to is surat me baaqi surah-e-hamd na padhen aur khud ko imam-e-jama'at ke roku me pahunchaaen
aap ne wazaahat nahi ki ke imam-e-jamaa'at ki Tisri rak'at maghrib ki hai ya 4 rak'ati namaaz ki hai ? bahar-haal agar aap ki aur imaam-e-jamaa'at ki namaaz-e-maghrib hai to tashah'hud padhne ke baad aek rak'at aur padhen aur tashah'hud wa salaam padh kar namaaz tamaam karen
aur agar aap ki wa imam-e-jamaa'at ki 4 rak'ati hai to aap ki Tisri aur imam-e-jamaa'at ki chauthi hogi is surat me sajde ke baad khade hone ke andaaz par baithe rahen ( is tarah ke guthna =گھٹنا = aur dono hath zameen par hon) jab imam-e-jamaa'at ki namaaz mokammal ho jaae to khade ho kar baaqi aek rak'at padhen
(2) aehteyaat-e-mustahab (behtar) hai ke foraada ki niyat kar ke sura-e-hamd mokammal Karen Phir dusra surah padhen iske baad namaaz ka baaqi hissa padh kar mokammal karen
والسلام
Syed shamshad Ali katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim-Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
28 / محرم / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment