Laqab "Bimaare Karbala" shaane imaamat ke khelaaf - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, October 15, 2019

Laqab "Bimaare Karbala" shaane imaamat ke khelaaf

اردو میں پڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


باسمه تعالى


Laqab bimaar-e-karbala shaan-e-imaamat ke khelaaf


Imaam-e-Sajjad (عليه السلام) ke baare me do bohot badi tahreef aur ghalat-fahmi hai


Aek Ye hai ke aap karbala me is tarah be'hoshi ki haalat me the ke ma'aazallah aap ko na jang ki koei khabar thi aur na hi as'haab, ansaar aur afraade khaandaane Bani Haashim ke shahid hone ki
Is tarah padhaa Jaata hai ke jab imaam-e-Husain rokhsate aakhir ke liae saiyyed-e-Sajjad (سلام الله عليهم) ke Paas aa'ae to bete (son) ne baap se har aek ke baare me puchha... to pedare buzurgwaar ne farmaaya sab shahid ho ga'ae, beta mokhtasar samajh lo mardon me mere aur tumhaare aelaawa koei nahi bacha hai...


Jab ke aisa nahi tha, Imaam (عليه السلام) ki be'hoshi ko apni be'hoshi par qeyaas karna sahi nahi hai


Imaam (عليه السلام) ki ghashi wa be'hoshi ka Matlab hargiz be'hawaasi wa be'khabari nahi hai


Is ta'alluq se Maasumeen (سلام الله علیهم) ki nind wa bedaari aur hosh wa be'hoshi yaksaan hoti hai ba'zaahir jism sotaa hai wa be'hosh hota hai lekin har cheez ki eit'tela rahti hai kisi chiz se be'khabar nahi rahte hain. Roze Aashura Imaam-e-Husain wa Imaam-e-Sajjaad (سلام اللہ علیہم) ke hosh wa hawaas me koei farq nahi tha


dusri ghalat-fahmi wa tahreef aap ke laqab "bimaar-e-karbala" ke baare me hai


Agl-e-waqton se ye rasm-o-rewaaj hai ke Imaam-e-chahaarum (عليه السلام) ko Sajjaad, Zainul-Aabedin aur Saiyyedus-Saajedin... ke bajaa'ae hamesha "bimaar-e-karbala" se yaad kiya jaata hai


koei bimaar huaa to kahte hain "be'haqqe bimaar-e-karbala" yaa "behaqqe Aabide Bimaar" yaa "bimaar-e-karbala ke sadqe me" ... shefa ho


Aap ki bimaari is tarah logon ke zehn me naqsh ho gaei hai.


Motabar rewaayaat wa naql ke motaabiq aap sirf Shabe Aashuraa wa Roze Aashura bimaar the


aap ki bimaari eittefaaq nahi tha balke mashiyat wa maslehat-e-aelaahi ki wajah se bimaar the, aap ki bimaari khodaa-e-alim wa hakim ki taraf se thi taa ke aap se jehaad saaqit ho jaa'ae aur shahid na hon, silsela'ae Imaamat baaqi rahe Nure Hedaayat khaamosh na ho aur apne pedare buzurgwaar ke baad faraa'aeze imaamat anjaam dete rahen


Lehaaza mokhtasar muddat ki bimaari aap ki hefaazat wa bachaao ke liae thi aap ki bimaari ka raaz ous waqt zaahir huaa Jab Sabne jaam-e-shahaadat nosh kar liya to zaalimon ne khaimon par hamla kiya, Shimr maloun Imaam-e-Sajjad (عليه السلام) ko shaheed karna chaahta tha lekin Hamid Bin Muslim ne ye kah kar roka ke ye bimaar hain in ko qatl na karo.
Imaam-e-Sajjad (عليه السلام) sirf Shabe Aashura wa Roze Aashura bimaar the lekin ham log aap ko da'aemul-mariz (hamesha bimaar rahne waale) ke taur par pehchaante hain


is laqab se zehn aap ki bimaari, ranjuri wa bad'haali, naa'tawaani, afsurdagi, be'haali wa zof wa kamzori ... aur kisi khatarnaak bimaari ki taraf jaata hai jab ke aap ba'zaahir zerah se haath ke zakhmi hone ki wajah se mariz the


zindagi ke dusre aham pahlu zehn se outar jaate hain


Haqiqat ye hai ke aap dushman ke moqaabale laachaar, naa'tawaan aur kamzor na the balke dauraan-e-aesaarat bhi shuja'at wa shahaamat ke saath dushmano ko dandaan shekan jawaab diya


har insaan mariz hota hai dusre Maasumin (سلام الله عليهم) bhi bimaar huae oun ko koei bimaar q nahi kahta ? Aur kabhi kabhi hamaari bimaari tulaani bhi ho jaati hai is ke baawojud agar koei ham ko har waqt bimaar kahe ya kisi khateeb ko likhe ya kahe ay bimaar khateeb kisi zaakir ko kahe ay bimaar zaakir kisi shaa'aer ko kahe ay bimaar shaa'aer kisi aalim ko kahe ay bimaar aalim, Najaf-e-ashraf makhsusan karbala-e-mo'alla me baaz log mariz hote hain jab wo apne watan aa'aen to koei kahe Ay bimaar-e-najaf, ay bimaar-e-karbala koei is ko apne liae pasand karega ? Aap se puchhta hun agar koei kahe to kaisa lagega ? zara kah kar dekhen keya hota hai ?


agar maalum karna hai to mahafil wa majaalis... Me kisi zaakir ya shaa'aer ya zaa'aer ya aalim ko bolaate waqt kah kar dekhen ab bimaar-e-karbala ya bimaar-e-Najaf ... folaan zaakir ya shaa'aer ya zaa'aer ya aalim ko daawat di jaa rahi hai


Olamaa-e-ahl-e-sunnat ne to Imaam-e-Sajjad (عليه السلام) ke liae likha hai :


كَانَ مِن اَحسَنِ النَّاس وَجهََا وَ اَطیَبِهِم رَیحََا ... وَ اَشرَفِهِم ذَاتاََ وَ طَبعَاََ وَ اَصلاََ ...


logon me chehre ke aetebaar se sab se zeyadah hasin wa Jamil aur khushbu ke aetebaar se sab se zeyada khushbudaar the... aur zaat, tabi'at wa khaandaani aetebaar se shariful'asl aur nehaayat baland wa buzurg the..."


Lekin afsos ka maqaam hai ham kahen "bimaar-e-karbala".
mokhtasar bimaari ki wajah se ham ne aap ko tamaam oumr bimaar bana diya wo bhi is tarah ke "bimaar-e-karbala" naam pad gaya isi se aap mash'hur bhi ho ga'ae


aehteyaat ko pesh-e-nazar rakhte huae kaha jaa'ae, sab nahi to Maasumeen (سلام اللہ علیہم) ke aksar alqaab Khoda ne diye hain ya Rasul-e-khuda ne ya kisi aur Maasum (سلام اللہ علیہم) ne, koei bataa'ae laqab "bimaar-e-karbala" aap ko Khoda ne diya hai ya kisi Maasum ne ?


kisi bhi motabar ketaab ya rewaayat me is laqab ka zikr nahi hai dusre ye ke "bimaar" faarsi wa urdu ka lafz hai arabi nahi hai


aap ki kisi zeyaarat me nahi hai


السلام علیك يا مريض كربلا


Salaam ho aap par Ay bimaar-e-karbala


haasil-e-kalaam ye ke : ye laqab khud'saakhta wa par'daakhta hai baa'alfaaz-e-degar ye laqab khud ka banaaya huaa aur aaraasta kiya gaya hai, ye shaan-e-imaamat ke khelaaf hai lehaaza behtar hai is naa'pasandida laqab se Imaam-e-Sajjad (عليه السلام) ko khetaab karne se parhez kiya jaa'ae


Niche di gaei video dekhna mofid hai انشاءالله


Karbala me Imaame Sajjaad (a.s) ne jehaad kiya aur zakhmi bhi huae


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
qum al moqaddas / iran


12 / moharram / 1438 hijri


this article transliterated by saiyed md Tabish urdu to roman urdu

subscribe us on youtube

10 comments:

  1. بیشک سچ فرمایا آپنے۔۔اللہ آپکو جزاے خیر دے

    ReplyDelete
  2. Absolutely right jazakallah khair

    ReplyDelete
  3. Assalanun alaikum....Bilkul durst farmaaya...allah hum tamam logon ko ye taufeeq de ke hum unko Un alqaab se pukaaren jo....unke liye moshakhkhas hai....

    ReplyDelete
  4. Bilkul durust haq bat byan farmai jazak Allah khair sada khush raho elahi aameen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya
      Khoda Ahlebait s.a ke sadqe me aap sabko salaamat rakhe elaahi aameen

      Delete
  5. Allah apko jazai khair ata farmaye elahi aameen

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya, Elaahi aameen
      Khoda be'haqqe Mohammad wa aale Mohammad wa shohdaa'ae karbala s.a aap sabko salaamat rakhe elaahi aameen

      Delete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen