Kya maasumeen (s.a) ki tasweer banaana jaaiz hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, October 12, 2019

Kya maasumeen (s.a) ki tasweer banaana jaaiz hai?

sawaal az : +917398......

Salam
Mai allahabad se hu
Taqlid agha sistani

Mera sawaal hai ki jo log maasumeen ke photo banaate hain ya serial banaate hain usme maasumeen ke chehre dikhae jaate hain kya kisi ne maasumeen ko dekha hai kya?  Agar nahi to ye log chehra-e-mubaarak ki tasweer Q banaate hain Or kya is tarah ki tasweer ya serial ko dekhna sahi hai ya nahi...?

Wassalm

jawaab :

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

agar maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki be aehteraami wa be adabi na ho our logon ke nazdik aap hazaraat ka maqaam o martaba kam na ho to banaane wa dekhne dono me haraj nahi hai

Note :

maasumin ( عليهم السلام ) ya janaab-e-abbaas , janaab-e-ali akbar , janaab-e-ali asghar wa janaab-e-qaasim ... ( سلام الله عليهم ) ki koei bhi taswir wa shabih ... museum me ho ya kahin our ho waaqaei wa haqiqi nahi hai , sab farzi wa khayaali hain lehaaza taarikhi wa shar'ei lehaaz se oun par aetebaar nahi kiya jaa sakta hai

in baaton ke peshe nazar aap hazaraat ki taswiren ... banaana pasandidaah kaam nahi hai lehaaza behtar hai is se parhez kiya jaae

agar banaaei bhi jaae to  chehre par nur daal diya jaae taake chehra nazar na aae , aap hazaraat ki shakhsiyat aiysi hai ke hunar , naqsh o negaar our taswir wa shabih ... me mahdud nahi kiya jaa sakta hai

aek baat par tawajjoh rahe " oun taswiron ... ki nisbat aap hazaraat ki taraf di jaati hai lehaaza oun ki be aehteraami bhi jaa'aez nahi hai haraam hai "

هوالعليم

والسلام


syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran

13 / صفر / 1441 ھ.ق



                                

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen