sawaal az : +9198927....
Salamunalaikum Maulana, Sab khairiyat Allah aap sehat aur salamat rakhe. Mera sawaal yeh hai ke Mahe Moharram mein Ghar mein Tali hui cheez bana sakte hai
kya pls zara batayenge.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
haraj nahi hai bana sakte hain
lekin jahaan aap rahte hain wahaan ke ourf ki nazar me ye kaam khushi ki alaamat wa neshaani hai to behtar hai is kaam se parhez kiya jaae
monaasib hai zaa'aerin-e-arba'ein ki khidmat me aek tafsili hadis ke baaz hisson ka hadiya pesh karne ki sa'aadat haasil kar lun
ye hadis aadaab-e-zeyaarat se mota'alliq hai
imaam saadiq ( عليه السلام ) se rewaayat hai :
اِذَا اَرَدتَ المَسِیرَ اِلَی قَبرِ الحُسَین ( عليه السلام ) فَصُم یَومَ الاَربِعَاءِ وَالخَمِیسِ وَ الجُمُعَة ِ... وَاَقَل مِنَ الكَلَامِ وَ المِزَاح ِ... ثُمَّ تَاتِی النَّینَوَی فَتَضَعُ رَحلَكَ بِهَا وَلَا تَدَّهِن وَلَا تَکتَحِل وَلَا تَاکُلِ اللَّحمَ مَا دُمتَ مُقِیمََا بِهَا ...۔
jab bhi ( apne ghar se ) qabr-e-imaam husain ( عليه السلام ) ki zeyaarat ka aeraada karo to ( tin roz ) budh, jumeraat aur juma ke din roza rakho ... kalaam wa mezaah kam karo phir karbala jaa kar wahaan apne wasaa'ael wa saamaan rakho aur tel na lagaao aur surma na lagaao aur jab tak wahaan raho gosht na khaao ...
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
13 / صفر / 1441ھ.ق
No comments:
Comment